Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge
Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge
Aashur ki woh raat, woh sannatay ka aalam
Fitrath ki khamoushi mai farishtoun ka woh matam
Soya huva run mein Asadullah ka zaigham
Aur khoon mai dooba huva Islam ka parcham
Dekhi na gayi bachchoun ki jab tashnadahani
Aankhoun mai khataknay lagi maujoun ki rawaani
Paani kay liyeh apna lahoo kar diya paani
Bachpan pay Sakina kay fida kardi jawaani
Qabzey mai thee talwar ke khabzey mai khudayi
Doh haath chalee thee kay taraayi nazar aayi
Bhaayi ki vigha dur say dekha kiye bhaayi
Yun shaan-e-wafa tunay wafadaar dikhayi
Duniya say gaya shaan wafaoun ki dikhakar
Paani na piya phenk diya muh say lagaakar
Ghodey say gira khaak pay baazu ko kataakar
Soya bhi tho soyi huvi millath ko jagaakar
Aye Fatima Zehra kay Qamar nayaar-e-taabaan
Baazu-e-Hussain Ibne Ali nasir-e-imaan
khaaliq ki qasam kar gaya Islam pa ehsaan
Aye mashk-e-Sakina kay mohaafiz teray qurbaan
Kazim koyi karta hai tho karney doh bahaana
Goonjayga fizaaoun may wafaaoun ka taraana
Har rang may dhal jaayega yeh gham ka fasana
Fitrat toh na badhlegi badal jaye Zamana