Jab pareshaan huvi Moula ki
Jab pareshaan huvi Moula ki jama-ath run may
Har namaazi ko pasand aayi Iqaamath run may
Qibla-e-deen ney kiya qazd-e- ibaadat run may
Shakl-e-mehraab bani taigh-e-shahaadath run may
Ghul huva isko Imaam-e-dojahaan kehtay hain
Taighoun kay saaye may Shabbir azan kehtay hain
Khudrath-e-Haq sey dareechay huvey firdaus kay waah
Dafatanh khul gaye dar haaye falaq sarthaapa
Ek ba ek utt gaye sab parda-e-arshey aala
Ambiyaa-o-malak-o-hoor ko pahoonchi yeh nida
Qadrdaan iska mai hoon mera shinaasa hai yeh
Kyon na ho meray Mohammed ka nawaasa hai yeh
Yeh woh taa-ath hai ke tanhaa hi adaa karthay hain
Meray aashiq tahey shamsheer rahaa karthay hain
Sar qalam hotha hai woh shukr-e-Khuda karthay hain
Saadiqul waada younhi waada wafaa karthay hain
Hum namaz iskay janaazey ki jo paddwaengay
Tum bhi jaana kay Rasoolaaney salaf jaayengay
Saakin-e-arsh-e-bareen karney lagay naala-o-aah
Shah takbeer yahan keh chukay Allah Allah
Aur iqaamath may huvey sarf shahey aalijaah
Jaan-e-waahid pa giray aankay laakhoun badhqaah
Sura-e-Hamd Nabi zaada padhaa jaata hai
Shimr khanjar liye seenay pa chaddhaa jaata hai
Neem bismil nay zabaan say jo kahaa bismillah
Naizaa maara abu Ayyub ney lab par naagah
Dar say saidaaniya chillaayi ke Inna lillah
Haaye yeh zulm namaazi pa ayaazan billah
Waajibul qatl ko hai aabo ghizaa ki mohlath
Jaan-e-Zehra ko naa di farz-e-khuda ki mohlath
Zeenath-e-arshay bareen khaakh pa iftaadaa hai
Na bichona hai na masnad hai na sajjaadaa hai
Shimr qanjar liye baaleen pa istaadaa hai
Koyi itna nahin kehta ke Nabi zaadaa hai
Qazd sajdey ka idhar qibla-e-deen kartha hai
Neeyath-e-zibha udhar Shimr-e-layeen kartha hai
Khanjar-e-zulm ko chamka kay pukaara dushman
Bosa gaah-e-nabavi kaatoon mai ab ya gardhan
Boley sheh jismay tu raazi ho nahin jaaye sukhan
Halq yeh halqey Nabi hai yeh badhan unka badhan
Dekh sar nangay har ek hoor-e-jinha aati hai
Abhi tu zibha na karna meri maa aati hai
Naagahaan aayi yeh awaaz ke amma sadqey
Meray maa baap fida mein teray qurbaan sadqey
Kaun kaun aaj huva tujj pa meri jaan sadqey
Shair kithney huvey kithney huvey naadaan sadqey
Qatl gahey ko abhi jannat sey jo mai aati thi
Hoor ek nanneh say laashey ko liye jaati thi
Qafela lut gaya amma mera lashkar na raha
Jaddh-e-amjad ki nashaani Ali Akbar na raha
Rehgaya dard-e-kamar haaye baraadar na raha
Ab khabar aapne lee aanh ke jab ghar na raha
Ek mai hoon so mujhey qatl ki mushtaaqi hai
Bosa gaah-e-nabavi katney ko ab baaqi hai.
Guftagoo maadar o farzand may hothi thi yeh aah
Rothi thi Fatema mushtaaq-e-shahadath thay shah
Aastheen gussey say qaatil nay chadd-haayi naagah
Qehray jallad pa ki shah ney hasrath sey nigah
Shimr nay poocha tumhe uzr koyi ab toh nahin
Boley sheh dekhlay darwaze pay Zainab toh nahin
Woh pukaara nazar aati nahin dar par Zainab
Peet thi phirthi hai khaimey may khuley sar Zainab
Gar saraachoun sey chalay aayegi baahar Zainab
Rokh sakney ki nahin par mera khanjar Zainab
Halq ko aap ke bey khauff-o-qatar kaatoonga
Ek khanjar say bahen bhaayi ka sar kaatoonga
Aayee Zehra ki sadaa Shimr tu naabina hai
Dar paa Zainab nahin baleen paa magar Zehra hai
Aray bey-rahem qataa meray pisar ki kya hai
Aastheen ulttee hai kyon taigh ko kyon khainchaa hai
Kya isay paala tha mainey teray khanjar ke liye
Meray bachchey ko na kar zibhaa payarnbar ke liye