Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar

 Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar

Kehti thi yeh maa khoon bhari maiyyat sey lipatt kar

            Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar

Armaan tha pehnaaoongi poshaak shahaani

Afsous kay raas aayi na tujhko yeh jawaani

Kaisa tha muqaddar, Haye Haye Ali Akbar


Ithnaa toh zaraa tehro tumhein dulhaa banaa loon

Bus ek jhalak sehray ki Sughra ko dikhaa loon

Bey chaen thi khwaahar, Haye Haye Ali Akbar.


Atthaara baras paal kay parwaan chaddhaaya

Woh gaisuoun waala hai mera khoon mein nahaaya

Yeh kya huva dilbar, Haye Haye Ali Akbar


Maa teri judaayi mein bhalaa kaisey jiyegi

Mar jaayegi Sughra jo khabar teri suneygi

Ab kya karoon jee kar, Haye Haye Ali Akbar


Tehro kay maen atthaarween mannath toh baddhaa doon

Ley ley kay balaayein tujhey jeenay ki dua doon

Sadqey ho yeh maadar, Haye Haye Ali Akbar


Pehlay toh ek aawaaz pey utt jaatey thay beta

Ab ithni sadaaoun pey bhi pehloo nahin badlaa

Kya hogaya dilbar, Haye Haye Ali Akbar


Karti thi ziyaarat maen Payambar ki tujhee sey

Ab ghar mein kisey doongi maen tashbeeh Nabi sey

Hum Shakl-e-Payambar, Haye Haye Ali Akbar


Tum hichkiyaan ley-ley kay jo dam tordd rahey ho

Munh Maa sey hameishaa kay liye mordd rahey ho

Kyun rootthey ho dilbar, Haye Haye Ali Akbar


Aayein jo hamein lootney khaimey mein sitamgar

Maa dey gi sadaa-e-Ali Akbar, Ali Akbar

Chinn jaayegi chaadar, Haye Haye Ali Akbar


Jab koyi jawaan laash nazar aati hai Mehshar

Ek yaad suwey Karbobalaa jaati hai Mehshar

Dil rothaa hai kehkar, Haye Haye Ali Akbar