Hai salaam us pey jo qaidi
Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai
Paaoon mein aablay hain aabloun mein khaar bhi hai
Kehta tha touq-e-giraan tu hai meray hissey mein
Warna is fouj mein khanjar bhi hai talwaar bhi hai
Poochaa ek shaqs ney Shabbir teraa kaun hai
Rokay farmaaney lagay baba bhi hai sardaar bhi hai
Pahoonchey nazdeek jo laashey kay Sakina ney kahaa
Yeh meray Baba ka Bhaayi bhi Alamdaar bhi hai
Pahoonchey nazdeek jo Koofay kay toh boli Zainab
Sar bhi uriyaan hai, balwaa bhi baazaar bhi hai
Dum rukh jaata hai aur sar bhi jhukh jaata hai
Touq yeh tangh nihaayath hai garaanbaar bhi hai
Gar chey beemaar hoon par zor-e-Imaamat kay sabab
Oontt bhi kheinchtaa hoon taaqath-e-raftaar bhi hai
Jab inhey shimr nazar aata toh ro ro kehta
Yeh sitamgar bhi hai qaatil bhi khoonkhaar bhi hai
Karbala mein toh Fasi aaya khusha haal tera
Ab tu Shabbir ka mujraee bhi hai zawaar bhi hai