Banu pichley paher Asghar ke
Banu pichley paher Asghar ke liye rothi hai
Ek woh jaagthi hai khalq-e-Khuda sothi hai
Sar ko bhi peet-thi hai jaan ko bhi khothi hai
Yeh ajab gham hai kay taskeen nahin hothi hai
Peetthay peetthay beyhoush jo hojaathi hai
Ali Asghar Ali Asghar ki sadaa aathi hai
Kabhi konay main woh muh dhaamp kay chillaathi hai
Aur kabhi sahen mai ghabraakay nikal aathi hai
Kokh pakdey huvey har ek taraf jaathi hai
Dhoondthi hai magar Asghar ko nahin paathi hai
Tanh ko larzish hai judaa aur hai muh zard-e-judaa
Dil tadaptha hai judaa seenay main hai dard-e-judaa
Kabhi kehthi hai kay ghar main meray andhiyaara hai
Ali Asghar ki judaayi ney mujhey maara hai
Haaye main ghar mai hoon jungle mai mera pyaara hai
Meherbaani jo karey mauth toh chuttkaara hai
Kab talakh raathoun ko hum naala-o-faryaad karein
Ya ilaahi Ali Asghar mujhey ab yaad karein
Goadh pehlaakay kabhi kehthi hai dilbar aajaa
Rooh beychaen hai aajaa Ali Asghar aajaa
Dil tadaptha hai mera goadh kay andar aajaa
Fatema kay liye aaja payeh Hyder aajaa
Boondh paani kay liye haaye teri jaan gayee
Aa main sadqey gayee waari gayee qurbaan gayee
Aakay seenay sey meray seena lagaadoh beta
Aag bhaddki hai kaleijey mai bhujaadoh beta
Khushk moonh apna meray moonh sey milaadoh beta
Ek nazar chaand si tasveer dikhaadoh beta
Jaao phir khuld main maa tumko na behlaayegi
Ek dum sey na zyaada tumhey tehraaegi
Loriyaan hum tumhey aye laal diya karthey thay
Aap leitay huvey jhooley main hansaa karthey thay
Ghuttniyo ghuttniyo gar aap chalaa karthey thay
Kurtha pakdey huvey hum saath rahaa karthey thay
Haaye maa baap sey qismath ney chudaaya tumko
Sooney jungle main meri jaan sulaaya tumko
Khalq sab sothi hai raathoun ko gharoun mai apney
Hum agar leithay hain karwatt toh qasam lo humsey
Neendh aathi meray pehloo main agar tum hothay
Tum toh aye laqth-e-jigar goadh main marqadh kay gaye
Yaad is paalney waali ki bhulaayi tumney
Paayenthi baap ki aye laal basaayi tumney
Haaye Asghar na tera deyn huva maa sey adaa
Bhojj koyi meri gardhan sey na uthraa tera
Na teri saalgiraah ki na tera doodh baddhaa
Na lahadh tujhko mili aur na kafan tujhko milaa
Tum toh maarey gaye chaathi pa litaaoon kisko
Chotay chotay yeh shalookay main pinhaaoon kisko