Balaa utthaakay haram Karbala

Balaa utthaakay haram Karbala main aathay hain

Mareez Shaam kay Daarushafaa main aathay hain

Ajab shikosey dasht-e-balaa main aathay hain

Gham-e-Hussain main yaad-e-Khuda main aathay hain

Jigar kay tukdey bharey daamanou main aaye hain

Yeh qabr-e-Sheh par chaddhaaney ko phool laaye hain

Bihaar main hai raqam yeh rivaayath-e-jaankaa

Jab aaye ahley harum jaanib-e-shahaadath gaah

Na gul na shamma mili beykasoun ki qabr pa aah

Mujaaveri ko faqath Jabir ibney Abdullah

Qureshi aaye hain aur Haashmi bhi haazir hain

M usaafeiroun kay mujaaver bhi sab musaafir hain

Doh shaamiyaaney hain baala-e-qabr-e-Sibtey Rasool

Woh ek rehmath-e-haq ek aur aahey Batool

Falak sey hoor-o-malak ka hai fouj fouj nazool

Ziarath-e-Shahey Mazloom kar rahey hain husool

L ahadh sey Akbar-o-Asghar kay daagh roushan hain

M azaar ek hai par doh charaagh roushan hain

Idhar ayaan huvi bas Zainab-e-khoojistha khisaal

Udhar lahadh main tadapney lagaa Rasool ka laal

Nida mazaar sey Jaabir ko di ba ranj-o-malaal

Main jeetha hotha toh kartha bahen ka isteqbaal

S haraf hai Fatema ka Fatema ki jaayi ko

M eri taraf sey tu jaa uski peishwaayi ko

Chalaa mayeh rufaqaah Jaabir khoojistha nihaadh

Sar-e-Hussain liye haathoun par milay Sajjad

Qadam pa gir padhaa Jaabir ba naala-o-faryaad

Pukaari Abid-e-beykas ko Zainab-e-naashaad

Galeh lagaao muhib-e-Nabi yeh Jaabir hai

Yeh turbath-e-Shahey Mazloom ka mujaaver hai

Galeh lagaa liya Jaabir ko Shaahey waala ney

Galeh pa neel rasan kay dikhaaye aaqaa ney

Kahaa kay loot liya bhaayi humko aadaa ney

Jo hum pah hogaya hum jaaney ya Khuda Jaaney

S ar-e-Hussain badee mehnathoun sey laaya hoon

Dubaarah baap ko main dafn karney aaya hoon

Taneh Hussain sey mulhaq kiya Hussain ka sar

Huva zameen main goyaa qiraan-e-shams-o-qamar

Lahadh pa taqtha-e-toobaah qareenay sey rakh kar

Pukaarey Abid-e-beykas muhibboh aao idhar

S uno bagoush kay is dum Rasool rothay hain

Dubaarah dafn meray babajaan hothay hain

Yeh kehkay ronay lagay haaye Abid-e-beemaar

Mazaar-e-Shaahey ghareebaan jo ho chukaa taiyaar

Sarhaaney bhaittkay sab faateha paddhey ek baar

Gharazz kay khaima-e-Jaabir main aaye sab deendaar

H arum ney qabr pa saamaan-e-ashko aah kiya

S ar-e-mazaar bapaa khaimaa-e-siyaah kiya

Siyaah khaimey main uthrey siyaah poush harum

Tawaaf-e-qabr kiya halqaa baandh kar baaham

Sabhoun ney qabr ko baaloun sey jhaadaa jab usdam

Larazz larazz gayi sadhmey sey qabr-e-Shaahey Umam

L ahadh pa Shah ki masnadh bichaayi Zainab ney

S alaam kay liye gardhan jhukaayi Zainab ney

Lipatt kay qabr sey aawaaz di duhaayi hai

Ek Arbayeen sey bahen bhaayi main judaayi hai

Hussain bhaayi bahen bhooki pyaasi aayi hai

Ummeedwaar-e-ziyaafath yeh amma jaayi hai

N a farsh hai na makaan hai na daana paani hai

S aqee kay laal yehi meri mehmaani hai