Run may abroo kamaan
Run may abroo kamaan ki aamadh hai
Asghar-e-bey zubaan ki aamad hai
Bhookey ki naathawaan ki aamad hai
Pyaasey ki neemjaan ki aamad hai
Yehi qaimey may shora hotha hai
Waada inka bhi poora hotha hai
Pyaas ney kardiya hai yeh aalam
Ghash pa ghash aatey hain inhein paiham
Hilte hain haath paaoon bhi kam kam
Seenay may ab nahin samaatha dam
Ghamsey maatam zadoun ko saktaa hai
Nanhaa syed padaa sisakataa hai.
Ro nahin sakthey muh banaatey hain
Aankhein ultee huvi phiraatey hain
Khusk ka muh zabaan dikhaatey hain
Ghulsey ronay ke Sehmay jaatey hain
Muh khula hai dhadakthi chaati hai
Saans bhi ab attakthi aati hai
Seena garmi ke maarey jalthaa hai
Nanhaa sa dil padaa uchalthaa hai
Dum ba-dum rang ko badalthaa hai
Bas nahin kuch kisika chalthaa hai
Naam paani ka sub jo leythay hain
Muh ko ghabraakey khol deithay hain
Rokay kehti hai baanu-e-dilgeer
Mai kidhar jaoon kyaa karoon tadbeer
Haaye bachchey meray teri taqdeer
Naa toh paani milaa tujhey naa sheer
Haal jab dekhti hai badh Zainab
Kehti hai ya Ali madad Zainab
Haaye kya waqt hai padaa humpar
Karney paaye na maatam-e-Akbar
Huvi.darpeish rehlatey Asghar
Ab mai nikloongi ouddkar chaadar
Lashkar-e-shaam paas jaaoongi
Haal beysheer ka sunaaoongi
Kahoongi jaakey mai hoon saidaani
Dekho martha hai yeh meraa jaani
Tishnagee ki hai ispaa tughyaani
Waah kya khoob ki hai mehmaani
Karo sairaab laal ko meray
Paani do nou nehaal ko meray
Qaimey may aaye sarwar-e-aalam
Jhoole sey bey zabaan ko laaye haram
Sheh ney dekha ke hai laboun par dum
Rokay irshaad yeh kiya paiham
Meray jaani meray jigar aao
Chalo maidaan ki sair kar aao.
Kehkay yeh royeh sarwar-e-zeejaah
liya haathoun pa apney gheerat-e-maah
kiya pinhaan abaa mai khaatir khwaa
Aur kaha La-Ilaha Illallah
Lekay pyaasey ko ashk baar chaley
Pusht qamm karkey bey qaraar chaley
Rokay kehnay lagey Imaam-e-Ghayoor
Ghaafilo kuch nahin hai turnko shaoor
Turn samajna nahin khuda ko door
Meray bachchey ka kuch nahin hai khusoor
Bey-gunaah ki naa jaan lo yaaro
Meray kehnay ko maan lo yaaro
Zaalimo waastaa Payambar ka
Dum nikaltaa hai meray dilbar ka
Tarr karo halq meray asghar ka
Jaam doonga mai turnko kausar ka
Hurmula bolaa aab milthaa hai
Tehroh tehroh jawaab milthaa hai
Boley karthaa hai kya ghazab zaalim
Maartha kyon hai beysabab zaalim
Paani maangeingay hum na ab zaalim
Sunta-tha sheh ka kehna kab zaalim
Teer abroo kamaan ko maara
Cheh mahiney ki jaan ko maara.