Dozakh say jab aazaad kiya Hur
Dozakh say jab aazaad kiya Hur ko khuda nay
Khulwadiye firdaus kay dar uqdaa kusha nay
Zaanu pay rakha sar ko Imaam-e-dosaraa nay
Aala kiya adna ko buzurghoun ki dua nay
Sab jiskay talabgaar thay jannat may woh durr tha
Hooraan-e-jinaa gird theen aur beech may Hur tha
Yeh zikr abhi tha kay sadaa ronay ki aayi
Darwaazey say Akbar nay yeh awaaz sunaayi
Lut gayee hai hai phuphi amma ki kamaayi
Maarey gaye doh saath ke khelay huve bhaayi
Rothey huvey Abbas bhi humrah gaye hain
Khud laashey utthaaney kay liye Shah gaye hain
Fizza ki sadaa aayi kay aye peetnay waalo
Sab milkey aray meri khoozaadi ko sambhaalo
Rothi hai kidhar baanu-e-aalam ko bulaalo
Lut gaya ghar khaak-e-aza baaloun pay daalo
Maqtal say Hussain ibne Ali laathay hain laashey
Saidaaniyou devdi pay chalo aatay hain laashay
Laashoun ko shahey deen safay matam pay jo laaye
Sab ahley haram peetthay rothay huve aaye
Zainab nay na faryaad ki na ashk bahaaye
Bhaitti rahee sar zaanu-e-aqdas pa jhukaaye
Lab khushk thay moonh faq tha Mijha ashkoun say tarr thi
Na apni na bhaayi ki na laashoun ki khabar thi
Baanu nay rakhey zaanu-e-Zainab pay sar unkay
Jo bibiyan thi aagay muh ko jigar unkay
Zainab nay jo ki jhuk kay rukhoun par nazar unkay
Dikhlaayi diye chaand say muh khoon may tarr unkay
Rukhsaar bhi majrooh thay abrooh bhi katay thay
Shaanay bhi juda chaand say baazu bhi katay tha
Taarif Imaam-e-doh saraa kartay hain utto
Abbas-e-Alamdaar sanaa kartay hain utto
Hum shakl-e-nabi madhay vegha kartay hain utto
Sab loug na uttnay ka gilaa kartay hain utto
Aaqa say museebath may juda ho nahin jaatey
Sadqey gayee youn jung ke din so nahin jaatey
Pyaaro turn akelay kabhi nikley nahin ghar sey
Rasthay sey na waaqif na saubaath-e-safar sey
Raahein-woh-kay khaali nahin jo khouf-o-qatar sey
Jo khaasa-e-baari hai woh tharraathay hain darr sey
Is khouff say raathoun ko na sothay thay Mohammed
Jab maut ka zikr aatha tha rothay thay Mohammed
Hai hai wohi rastha tumhey darpeish hai pyaaro
Turn mard ho jarraar ho himmath ko na haaro
Ab aankhon say chhup jaaogay aye arsh kay taaro
Bachho mujhe manzil ka patha deikay sidhaaro
Veeraaney may ya gulshan-e-hasti may rahogay
Turn aaj ki shab kounsi basthi may rahogay
Ab zeesth sey amma ka bhi dil sayr hai pyaaro
Jeethi hoon mai qismath ka meri pheir hai pyaaro
Kya jaanay meri maut may kya dair hai pyaaro
Turn mar gaye duniya mujhe andher hai pyaaro
Hai kaunsi daulath jisey khonay ko rahi hoon
Maaloom nahin ab kisey ronay ko rahi hoon
Taareeki may waari tumhey neend aayegi kyonkar
Shab hogi toh bachchoun ko yeh maa paayegi kyonkar
Maadar dil-e-betaab ko samjhayegi kyonkar
Waanh takh meray ronay ki sadaa jaayegi kyon kar
Nikloon jo tajas may toh beyjaa nahin waari
Maa hoon mera patthar ka kalejaa nahin waari
Maqtal may khiyaam aaj kahaan hoga batha doh
Maa sadqey muqaam aaj kahaan hoga batha doh
Din turn ko tamaam aaj kahaan hoga batha doh
Bisthar sar-e-shaam aaj kahaan hoga batha doh
Hum waar zamee shab kay bichhounay ko milegi
Kaisi hai jaghey jo tumhey sonay ko milegi
Tukday tha kaleijaa yeh bayaan dard ka sunkar
Ek hashr tha saidaaniyaan jab peetthi thee sar
Baano nay kaha qibla-e-kounain say utt kar
Marjaayegi maa laashoun ko lejaaiyeh baahar
Farzandoun ka gham khaaliq-e-aalam na dikhaaye
Allah kisi maa ko yeh maatam na dikhaaye