Musaafiroun ki Madiney
Musaafiroun ki Madiney mai jab raseed aayi
Kay waadagaah mai fouj-e-shahey sayeed aayi
Raseed aathay hi Soghra ke ghar main eid aayi
Taphay gohan gayee aur taaqath-e-jadeed aayi
Malaal door huva aiysh ke qareenay sey
Bukhaar nabz sey gham dil sey dard seenay sey
Gharazz kay Hazrath-e-Ummul Baneen ko bulwaaya
Woh aayeen toh sar-e-tasleem utt ke nahudaaya
Woh hans ke boli ke kyon yaad mujhko farmaaya
Kaha mareez ney khush hokay Sheh ka qath aaya
Hamaarey dil ko faqath naamabarr ney chaen diya
Mohammad-e-Hanafi ko qath-e-Hussain diya
Yeh kehkay maadar-e-Abbas ko liya humraah
Mohammad-e-Hanafi kay ghar aayi dukhtar-e-shah
Woh muntazir thay liye naama-e-Shahey zeejaah
Salaam karthay hi kehnay lagay ba naala-o-aah
Lo ab sunaao Imaam-e-ghareeb ka naama
Padho mareez kay aagay tabeeb ka naama
Mohammad-e-Hanafi ney kiya lifaafey ko waah
Nikaala suqqahey pur noor Syed-ush-Shohadaa
Padhaa jo naamay main alqaab apna rokay kahaa
Hussain teray karam par hain laakh jaan sey fidaa
Kahaa main tera baraadar bajaan baraabar hoon
Tu jaan-e-qatm-e-Rasool hai main ibne Hyder hoon
Aqhi ka lafz jo alqaab main meray likhaa
Faqath yeh bandhaa nawaazi hai ya Imam-e-Huda
Tera ghulaam hai Abbas main ghulaam uskaa
Hazaar haif qadam sey Huzoor kay hoon judaa
Liya jo naam-e-judaayi toh aansoo behnay lagay
Salaam paddh kay alaikas-salaam kehnay lahay
Kaha yeh Fatema Soghra sey tabh ba deeda-e-tarr
Likha hai baap ney tumko kay aye meri dukhtar
Dua kay baad ho maaloom meri noor-e-nazar
Koyi ghadi nahin ghaafil teri taraf sey pidar
Qalaq hai sadhmaa hai ranj-o-malaal hai Soghra
A doo kay narghey main Zehra ka laal hai Soghra
Wofoor-e-fikr sey Soghra jo saqth ghabraayi
Chachaa ka apney qalamdaan woh utthaa laayi
Aur iltemaas kiya aye Hussain kay bhaayi
Mujhey toh hai na tawaanaayi aur na beenaayi
Meri taraf sey woh alqaab likho Baba ko
Kaneezein likhthi hain jis tarhaa apney aaqa ko
Ghareeb parwar-o-aalam nawaaz woh khalq-e-panaah
Maalik sipaah falak baargah-e-shaahinshah
Imam beykas-o-mazloom-o-beydayaaro tabaah
Khaleel-e-Kaaba-e-deen Yousuf-e-Rasoolallah
Ajal raseedoun kay Eesa ghareeboun kay waali
Hussain ibne Ali mudhazallaa-o-aali
Rajab ki teesri ko tumney ghar kiya veeraan
Tumhaarey baad huveen teen eidein Babajaan
Shab-e-Baraath huvi doosrey mahiney ayaan
Baroohey hamza na thi faateha ki taab-o-tawaan
Tamaam aah tadaptay tadaptay raat huvi
Hamaarey ghar main na eid-e-Shab-e-baraat huvi
Woh eid toh gayee din eid-e-fitr ka aaya
Ghar aankar mujhey humjoliyoun ney rulwaaya
Kisiney gehnaa kisiney libaas dikhlaaya
Koyi yeh boli kay eidee main humney yeh paaya
Har ek khush tha magar meray lab pa naalay thay
Safar mai sab meri eidee kay deinay waaley thay
Nazar main phirthaa hai eid-e-guzishthaa ka aana
Woh eidgaah main Akbar ka dhoom sey jaana
Bahen ke waasthay meivay khareedkar laana
Woh amma baano ka har dum galay sey liptaana
Ba jabr ab toh baghalgeer jis sey hothi hoon
Bahen Sakina ko main yaad karkay rothi hoon