Jab katt gaye dariya pey Alamdaar

Jab katt gaye dariya pey Alamdaar kay baazu

Shaanon sey judaa hogaye Jaraar kay baazu

Reythi pa giray Shah kay ghamkhwaar kay baazu

Tharraaney lagey Syed-e-Abraar kay baazu

Rang uddgaya tasweer-e-alam hogaye Shabbir

Sadma yeh hua zouf sey kham hogaye Shabbir

Girney lagaa jis dum Alam-e-Syed-e-waala

Abbas ney jhuk kar isey gardanh sey sambhaala

Ek teer lagaa chashm pey aur seenay pey bhaala

Bandh aankhein huveen munh sey lahu Shair ney dala

Ek gurz lagaa phir jo kisi aur shaqi ka

Shaq hogaya sar Hazrat-e-Abbas-e-Ali ka

Kuch guzar garaan baar ka sadmaa nahin thoda

Ser shaq huva phir mashk ko daanton sey na chodaa

Zeen sey jo giray aap khadaa hogaya ghodaa

Ek teer ney mashkizey ko aur seenay ko thodaa

Paani jo bahaa eid huvi fouj-e-adu mein

Machli sey tadapney lagey Abbas lahu mein

Nagaah yeh aawaaz-e-Ali dasht mein aayi

Shabbir qabar lo kay tasadduq huva Bhaayi

Chilaayi yeh Zainab kay dohaayi hai dohaayi

Hazrat ney kahaa lutt gayi Baba ki kamaayi

Tashreef Shahey har do saraa laaye hain Zainab

Abbas kay laashey pey Ali aaye hain Zainab

Yeh suntey hi Hazrat ney amaamey ko uthaara

Akbar sey kaha kar do garebaan ko dopaara

Aashiq meray bachchon ka zamaaney sey sidhaara

Hum sogh mein hain qatl huva Shair humaara

Aafath mein phasi paani ki mohtaaj Sakina

Bus hogayi duniya mein yateem aaj Sakina

Farmaakay yeh girtey huvey doudey Shahey waala

Sambhley kabhi khud kabhi Akbar ney sambhaala

Tha seena-e-aqdas mein kaleijaa taubaala

Chillaati thi hai hai meray aaghosh ka paala

Jaldi kabhi chaltey kabhi phir badtey thay Shabbir

Ghabrakay har ek laash pey gir padte thay Shabbir

Kehtey thay utthaakar yeh Ali Akbar-e-zeejaah

Darya ki taraayi toh abhi door hai Ya Shaah

Farmaatey thay aankhon mein basaarat nahi aye maah

Abbas-e-Ali chodd gaye ab toh humein aah

Ab kheincheingay talwaar jo rastaa na mileygaa

Akbar humein kya bhaayi ka laasha na mileygaa

Hazrat ko sambhaley huvey darya pey jo laaye

Abbas-e-Alamdaar sisaktey nazar aaye

Akbar ney katey haath tadaptey huvey paaye

Bhaayi ko Khuda bhaayi ka laasha na dikhaaye

Jhukney jo lagey kaampkay ghash kargaye Shabbir

Sabit Ali Akbar pey huva margaye Shabbir

Hai hai Shahey deen kehkay jo roay Ali Akbar

Sadmey sey tadapney lagey Abbas-e-dilaawar

Ghabraakay bhatijey sey kaha aye meray dilbar

Bathlaado kidhar hain meray Aaqa meray Sarwar

Akbar ney kahaa gham Shahey waala ko badey hain

Woh aapkay qadmon ki taraf ghash mein padey hai

Gash mein yeh sukhan sunkay pukaarey Shahey zeeshan

Yeh kiski sadaa hai main is aawaaz kay qurbaan

Akbar ney kahaa kab sey tadaptey hain Chachajaan

Mil lijiye kay Abbas koyi dum kay hain mehmaan

Phir ho na sakaa zabt Imam-e-Azali sey

Liptey Shahey deen laasha-e-Abbas-e-Ali sey

Chillaaye basad gham meray bhaayi meray bhaayi

Kya dil ka hai aalam meray bhaayi meray bhaayi

Kyun chashm hai purnam meray bhaayi meray bhaayi

Ukhddaa hai tera dum meray bhaayi meray bhaayi

Seenay mein ajal saans teharney nahin deti

Hichki tumhein kuch baat bhi karney nahin deti

Yeh kehtey hi Hazrat pey qayaamat huvi taari

Abbas-e-Alamdaar karaaye kayi baari

Atkaa jo dum aankhon mein toh aansoon huvey jaari

Tanh rehgaya aur rooh suey khuld sidhaari

Chillaakay jo Sheh roay toh ghabraayi Sakina

Nikla tha dum unka kay nikal aayi Sakina

Mayyat sey lipatt ney ko jo woh douddti aayi

Hazrat ney abaa bhaayi kay chehrey sey hataayi

Chillaayi Sakina kay dohaayi hai dohaayi

Reythi mein Alamdaar ney shakl apni chupaayi

Tharraaney lagaa laasha-e-Saqqa-e-Sakina

Laashey sey bhi aayi yeh sadaa haaye Sakina