Kab laotke aaoge
Kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Dushwaar huva jeena kab laotke aaoge
Roothi hai khushi mujhse har lamha naya gham hai
Dhadkan ki sadaaon mein tanhaai ka maatam hai
Bhayya Ali Akbar ki furqat mein yeh aalam hai
Har saans hai ek bhaala kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Kya jaaniye aatey hain kyon mujhko yeh andeshe
Manzar nazar aatey hain jaltey huve qaimoun ke
Rah rah ke na jaane kyon girtee hai rida sar se
Kya haal hai phoopiyoun ka kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Rahta hai tasawwur mein chehra Ali Akbar ka
Phirta hai nigaahoun mein jhoola Ali Asghar ka
Allah muhaafiz hai ab mere bhare ghar ka
Ghabraata hai dil mera kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Bhaiyya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga
Soncha na kisi ne bhi hai door bohot Sughra
Hasrath hai ke dekhoon mai bhai ko bane dulha
Goondhi hoon yahan sehra kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Kyon jaane mujhe aksar aata hai qayal aisa
Yoon lagta hai jaise ke be-pardah hai sub kunba
Allah rakhe pardah Zehra ke gharaane ka
Dil kaamptha hai mera kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Shashmaaha mera bhai yaad aata hai reh reh kar
Kya ghutniyoun chalta hai ab mera Ali Asghar
Ho pyaar mera baba maasoom ki aankhon par
Daali hoon main gehwaara kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Kya yaas hai aye Razvi pahuncha hai qathe Sughra
Rethi pa rakha Sheh ne laasha Ali Asghar ka
Ronay lagey beti ka qath padhke Shahey waala
Qath mein yahi likha tha kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge