Shaheed se koi shamsheer ka
Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche
Mareez se koi akseer ka maza pooche
Aseer se koi zanjeer ka maza pooche
Yateem se koi dilgeer ka maza pooche
H ar ek pah guzra zamane mein ranjo gham hae hae
S aha na Abede beemar sa alam hae hae
Shaheed hotey hue baap ko pisar dekhe
Ani pah naize ki hae hae sare pidar dekhe
Jawan bhai ka nikla hua jigar dekhe
Phoopi ko ankhon se balwe mein nangay sar dekhe
Kisi nabi pah na is tarha ke alam guzre
Joh is mareez pah har tarha ke sitam guzre
Shadeed taph mein woh kanton pah chalna Abed ka
Pahan ke bediyan har ek qadam pah gir padna
Woh zulme jowr sitamgar haram ka shoro buka
Woh jism laagare Abed woh dhoop woh durrah
S iwaae shukre Khuda kuch na kehte thay Sajjad
Duae ummate aasi mein rahte thay Sajjad
Phiraya kaanton pah Sajjad ko barehna pa
Nabi ke kunbe ko balwe mein le gaye aada
Jalaaya qaima-e-namoose syedde wala
Phira ke balwe mein zindaan mein qaid kar dala
Tamaasha dekhne sub ahle shaam aate thay
H aya se ahle haram gardanein jhukatey thay
Sitam ke baad huva qaid se joh chutkara
Layeen se baap ka sar is yateem ne maanga
Sar-e Hussain khazane se Hind ne bheja
Sawaar oontoun pah kunbah huva payambar ka
L ehad mein laash ghareeboun ki haaye dharne chale
M ahe batool ko paiwande qaak karne chale
Jo pahunche Karbobala Abede aseere bala
Pidar ko deke kafan qaak mein rakha laasha
Lipat ke qabr se chillae yoon ke ae baba
Watan ko jaata hoon lo aaqri mera mujra
Watan se aaya tha kis shaan se yahan hae hae
L uta ke ghar ko mein jaata hoon neem jaan hae hae
Likha hae yoon ke watan aaye jab shahey wala
Pidar ki yaad mein har waqt karte thay nala
Nazar jo aata tha paani toh rotey thay moula
Hamesha ankhon mein phirta tha dashte karbobala
Pidar ke baad bhi raahat mili na Abed ko
Dobara qaid kiya is ghareeb zahed ko
Watan se le gaye phir qaid karke baaniye shar
Hu-ee bhatije ke hamrah Zainabe muztar
Qareebe Shaam jo pahunche woh dono nauhagar
Lagaya belcha Zainab ki pusht ke oopar
S afar mein Zainabe bekas se chut gaye Sajjad
Dayare Sham mein phir aake lut gaye Sajjad
Phupi ko soump ke jungle mein syedde wala
Madine mein hua daaqil woh bekaso tanha
Waleed Shaam ke haakim ne zehr bhijwaya
Woh sum ke khate he Abed ne ki jahan se qaza
Falak pah hooro malak arsh ko hilane lage
Zameen pah jinno bashar sar pah qaak udane lage
Mohebbo daage alam dil pah dhar gaye Sajjad
Joh khaya zehar toh sadh haif margaye Sajjad
Nabi ki aal ko be-aas kar gaye Sajjad
Yateem hogaye Baquer guzar gaye Sajjad
S ar apna peet tey marqad se Mustafa nikle
Kaleja thaam ke kyonkar na Fatema nikle
Chiraage deene nabi aaj bujh gaya yarab
Nishaane panjatane paak mit gaya yarab
Utha jahan se sartaj ab mera yarab
Qitab bewa-e Abid mujhe mila yarab
Karoon mein kya meri qismat bigad gayi ya rab
Chaman mein Fatema ki oas padhgayi ya rab
Khuda ke arsh ka taara guzar gaya logo
Ghazab hae shah hamara guzar gaya logo
Woh bekason ka sahara guzar gaya logo
Hassan Hussain ka pyara guzar gaya logo
M adina lut gaya ya Mustafa duhaai hae
N ajaf ujad gaya ya Murtuza duhaai hae