Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina
Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina tho ro Diye
Abid ka dil ghamoun sey bhar aaya tho ro diye
Paaoun mai aabeilay thay, chalay aur teihar gaye
Rauza Rasool ka nazar aaya tho ro diye
Bhaitay zameen par sar ko, jhukaaye huvey Imam
Saaya kiya kisi ney ridaa ka tho ro diye
Abbas ki Wafa ka, shuja-ath ka zikr tha
Betay ney aakay baap ko, poocha tho ro diye
Ummul Baneen ko betay ka, pursaa diya magar
Soghra ko dey sakay na, dilaasa tho ro diye
Farmaathey thay shaheed, huvey aqrobaa tamaam
Beysheer ko kisi ney jo, poocha tho ro diye
Rudaadein Karbala ki, sunaaya kiye Imam
Jab zikr-e-shahr-e-shaam ka, aaya tho ro diye