Lo momino khulaasa suno
Lo momino khulaasa suno is bayaan ka
Banu ko pursaa doh chey mahiney ki jaan ka
Par haal kis zabaan sey kahoon bey zabaan ka
Kyon gir padhaa na phatt kay tabaq aasmaan ka
Jhooley main di panaah na maa kay kanaar main
Kaatee adoo ney gardhan-e-Asghar mazaar main
Liptay huvey azeezoun kay laashoun sey thay harum
Jo aah sar shaheedoun kay honay lagay qalam
Ginn ginn kay khud umar ney kiye naizoun par alam
Bola mulaazimoun sey abhi ek sar hai kam
Is dum mujhey khayaal-e-itaabh-e-yazeed hai
Arzi main likh chukaa hoon bahaathar shaheed hai
Peetaingay is bayaan sey sab kodakho jawaan
Yeh taaza waaqia hai ghazab ki hai daastaan
Kyon khushk hogayi na sitamgaar ki zabaan
Bolaa Umar talaash karo qabr ka nashaan
Bachchey ki qabr khodh kay sar ko qalam karo
Akbar kay sar kay paas sinaa par alam karo
Baazay laraz laraz kay pukaaray kay al-hazarr
Hum tho na qabr khodaingay zaalim Khuda sey darr
Is bey zabaan Shaheed kay sin par toh rahem kar
Sothaa hai saari raat ka jaaga lahoo main tarr
Dekhay na chaen jhooley kay ney maa ki goadh kay
Bachchey ka sar na kaataingay hum qabr khodh kay
Kya uski qabr sey tujhey daawaah hai aye layeen
Hazrath ney mol-li thi yeh maqtal ki sab zameen
Bey dafn hai mahey rufaqaa baad shaaheydeen
Bey ghar hain Ahlebaith-e-Shahinshaahey mursaleen
Murdoun ko goar zindoun ki qaatir makaan nahin
Ek bachcha qabr main hai usay bhi amaan nahin
Rothay thay laash haaye Shaheedaan pa sab harum
Kya dekhtay hain aatha hai ek baani-e-sitam
Nokay sinaa chubothaa hai mitti main dum badum
Fizza pukaari khair karey Rabb-e-Zulkaram
Yeh qabr dhoond tha hai kisi naazneen ki
Naizey sey dekhtha hai yeh narmee zameen ki
Banu ney poocha deedaa-e-dil sey bahaakay khoon
Joyaa hai kiski qabr ka yeh zaalim-e-zaboon
Fizza pukaari khaak meray mooh main kya kahoon
Main kis zabaan sey saahib-e-turbath ka naam loon
Khodheygaa maqbaraah chey mahiney ki jaan ka
Maangaa hai ibney saad ney sar bey zabaan ka
Paikaan jis galay sey abhi ho chukaa hai paar
Hai hai usi galay pa phireygi chhuree ki dhaar
Aaraam gaah murdoun ka hai goshaa-e-mazaar
Bibi kay laqthay dil ko wahaan bhi nahin qaraar
Ney faateha na phool kisi noor-e-ain kay
Hothay hain zibhaa qabr main bachchey Hussain kay