Shora jahan mein Hasan-e-Askari

Shora jahan mein Hasan-e-Askari ka hai

Naqsha nageen yeh arsh ki angushtari ka hai

Kounain mein yeh gul chaman-e-Hyderi ka hai

Durr-e-yateem maadan-e-Paighambari ka hai

Mazloomiyat misaaley janaab-e-Hussain hai

Aur dabdabey mein faatahey Badr-o-Hunain hai

Per Motamadh ney Qaher kiya wa musibataah

Aisey wali ko zehr diya wa musibataah

Imaan kay ghar ku loot liya wa musibataah

Khooney jigar haram ney piyaa wa musibataah

Phaada kafan Nabi ney Ali nangey sar huvey

Bachpan mein haye Mehdi-e-deen bey pidar huvey

Arwaahey Panjatan ko sataaya hazaar haif

Jannat mein Mustafa ko rulaaya hazaar haif

Turbat sey Fatima ko utthaya hazaar haif

Qabr-e- shahey Najaf ko hilaaya hazaar haif

Ghul Saameray mein hota tha jis waqt bayn ka

Yaan Karbala mein hilta tha marqad Hussain ka

Hairaan thay zayeraan-e-Hussaini kay kya hai aaj

Kyun zalzaley mein qabrey Shahey Karbala hai aaj

Mehshar miyaane ganjey shaheedaan bapaa hai aaj

Aati hai yeh sadaa humey sadmaa badaa hai aaj

Zakhmi badan ko meray adu ney hilaa diya

Pothay ko meray zehrey halahal pilaa diya

Hairat hai kyun zameen pey na arshey ulaa giraa

Is zulm sey amaama e Mushkilkhusha giraa

Abbasiyon pey kyun na falak jaabaja giraa

Baalaa e khaak taaj-e-Rasool-e-Khuda giraa

Sar apna kholey sog mein aaley Rasool ney

Jannat mein sar sey phenkdi chaadar Batool ney

Likha hai jab Imam huvey aazam-e-jinaan

Ek dafaa Sameray mein qayamat huvi ayaan

Daulat saraaye Shah sey aaney lagi fughaan

Lo momino yateem huvey Saheb-uz-Zamaan

Sar garm zulm chaaron taraf badh khisaal hai

Aur haif hai ki Mehdiye deen khurdasaal hai

Saaya na baap ka na koyi bhaayi saath hai

Sar per Imam-e-Asr kay bus haq ki zaat hai

Is bey pidar ki simt kisey iltefaat hai

Ab sharm Ahlebait ki Zehra kay haath hai

Murday kay gird shor jo nauhey ka hotaa hai

Masoom phoot phoot kay baba ko rothaa hai

Ab istarhaa sey ahley khabar kartey hai bayaan

Maatam sara mein bibiyaan karti thi yeh fughaan

Nehla chukay jo laashaye Moula-e-dojahaan

Kafnaya usko rakhtay mutaahir kay darmiyaan

Awaaz aayi Fatima kay shoro shain ki

Sab shia roye beykafani per Hussain ki