Shaam ke baad
Bhaiyyah teri maajaayi ney
Yeh bhi dekha shaam ke baad
Shaam sey pehlay qatl huva tu
Paani aaya Shaam ke baad
Asghar maqtal jaatey jaatey
Khushboo apni chodd gaye
Maa aankhoun sey choom rahi hai
Qaali jhoola shaam ke baad
Baba ko jab yaad kareigi
S himr tamaachey maareyga
Ho jaaengay khoon mai tarr
R ukhsaar-e-sakina shaam ke baad
Din kay ujaaley may lailaa ney
H ashr kay manzar dekhliye
Noukay sinaa par dekh rahi hai
chaand ka tukdaa shaam ke baad
Qasim-o-Akbar Aun-o-Mohammad
Khana-e-Zehra ke thay charaag
Soonay ghar may yaad aayega
H ar shehzaada shaam ke baad
Shaam-e-ghareebaan ke maaroun ko
N angay sar dekha jo Zaki
Dhaamp raha hai chaadar bunkar
Ghorr andheiraa shaam ke baad