Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare
Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare
Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare
dariya ke kinaare
Maamu pah fida hogaye Zainab ke dulaare
dariya ke kinaare
Sunkar yeh sada saaniye Zehra yeh pukaari
amma gayi waari
Aatey he mere laadle duniya se sidhaare
dariya ke kinaare
Dekhenge na paani ki taraf aankh utha ke
vaada tha yeh maa se
Shahzaadon ne dum todh diya pyaas ke maare
dariya ke kinaare
Maqtal ke andheron mein thay us ghar ke ujaale
doh phool se pyaare
Yeh chand ke tukde hain ke tootey huve taare
dariya ke kinaare
Qaime mein abhi laane ki jaldi nahin logo
A kbar se yeh kehdo
Bachhon ko mere bhai ka sadqa toh utaare
dariya ke kinaare
Yaad aagaye Muslim ke pisar bekaso muztar
barpa huva mehshar
Qaatil ne joh sar Aun-o Mohammed ke utaare
dariya ke kinaare
Achha hae ke sothay gaye moonh qaak pah rakh ke
saaye mein alam ke
Abbas ke qadmoun mein rahe laal hamare
dariya ke kinaare
Kaata gaya jab qushk gala sibte nabi ka
farzande Ali ka
Chilla uthi Zainab ke, hae hae mere pyaare
dariya ke kinaare
Ghar lootey hain Zainab pah qayamat ki ghadi hae
qaamosh khadi hae
Suntah nahin koi woh kise jaake pukaare
dariya ke kinaare