Bilqees paasbaan hae yeh
Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae
Maryam duroodqan hae yeh kiski janab hae
Shane Khuda ayaan hae yeh kiski janab hae
Dehleez aasman hae yeh kiski janab hae
Kursi zameen se lethi hae goshe panah ke
Baitha hae arsh saaye mein kis baargah ke
Ulfat Khuda ke baad habeebe Khuda ki hae
Munsif ke pas yeh bhi vila kibriya ki hae
Parwaa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hae
Eeza faqat judaai-e qairulwara ki hae
A abo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hae
A nkhon mein shakl baap ki ronay ka dhyan hae
Bete pukaarte hain ke lillah baahar aao
Amma na itna ro-o ghulamoun peh rahem khao
Nana kahan gaye hain bula laye hum batao
Hum kapde phaadte hain nahin toh gale lagao
N ana ke baad haaye yeh beqadr hum huve
S ab ek taraf huzoor ke bhi pyar kum hue
Aqir wafoore girya se aajiz huve Arab
Hyder ke pas ronay ki faryaad laye sab
Ki arz Fatima se kaho ae wali-e-rab
Ya Syedda tumhari raiyath hae jaan balab
Khane ka koi waqt na sonay ka waqt hae
Jo waqt hae woh aapke ronay ka waqt hae
Baher se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar
Moonh dhanpe ro rahi thi akeli woh qushsiyar
Dene lage payame Arab shahe bahrobar
Ghabrake boli hai karoon kya mein bepidar
Qaabu mein mauth huve toh marjaaon ya Ali
Baba ka soag leke kidhar jaoon ya Ali
Meri taraf se ahle Madine ko doh payam
Logo qafa na ho meri ruqsat hae subho-shaam
Doh chaar din tumhare mohalle mein hae maqaam
Ronay ki dhoom ho chuki ab kaam hae tamaam
Ghabrati hoon watan mein safar ke maheene se
Baba sidhaare kaam mujhe kya Madine se
Ek din nigah karte hain kya shahe la-fatah
Mathbaqh hae garm aaridey joh hai gundha hua
Nahla rahi hae bachoun ko mal mal ke dast-o-pa
Phaila diye hain kurte bhi dho kar juda juda
Poocha ke itne kaamon ka jo shagl aaj hae
I s waqt kuch bahaal tumhara mizaaj hae
Boli ke aaj raat ko ho jaoongi bahaal
Kal mere kaarobar mein tum honge qud nidhaal
Qidmath ka mere bachhoun ki hoga kise khayaal
Nehla dhula diya ke pareshaan tha unka haal
Kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali
S ehra na dekha ek yeh armaan le chali
Phir toh har ek mohalle mein mahshar bapa hua
Apne paraaye daude ke hae hae yeh kya hua
Fizza pukari Syedda ka waqia hua
Hujra Batoole paak ka maatam sara hua
Chaati qalaq se dekhne waalon ki phat gayi
M oonh rakhke moonh peh murde ke Zainab lipat gayi
Mein doodh baqshwane na paayi ke chal basee
Sherbat bana ke lane na paayi ke chal basee
Kuch haale dil sunaney na paayi ke chal basee
Mein be-naseeb aane na paayi ka chal basee
Kya jald tar zamaana hua inteqaal ka
H ae hae abhi toh sin tha kul athara saal ka
Ae meri faaqa kash meri nadaar ammajaan
Ae meri be-dawa meri beemaar ammajan
Kaabe ki aabroo meri sardaar ammajan
Ae meri sabera meri nachaar ammajan
N ana moovi toh thi koi taaza qitaab doh
A mma jawab doh meri amma jawab doh
Nanhe se sar khule hain nahin sar peh topiyaan
Kehte hain kuch toh moonh se nikalta haaye maan
Likha hae jab janaze pah pahoonche woh neem jaan
Hasrath se dekha murde ka moonh aur yeh ki fughaan
A mma ghulam aaye hain ruqsat ke waastey
Jaati ho tum nabi ki ziarat ke waastey
Kehthi thi rokay Zainab-e-naalaan jawaab doh
Khaamoush kyon ho aye meri amma jawaab doh
Kya hogaya yeh hashr ka saamaan jawaab doh
Hothi hai beti aap pa qurbaan jawaab doh
A b toh baraayeh khaaliq-e-yazdaan jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Humsaeeyoun ki thi yeh shikaayath ke ammajaan
Ya din ko roye ya toh karein raat may fughaan
Ronay sey aapke hai khalal kaam may yahaan
Naana ke baad phirgaye jo jo thay meharbaan
Kaise thay kalmaa goh wo musalman jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Naana ka saaya sar sey uttha sabr karliya
Pehloo pa dar giraaya gaya sabr karliya
Ummath ney jo jo zulm kiyeh sabr karliya
Is zulm ka gilaah na kiya sabr karliya
Kaisi thi saabeira meri amma jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Bhaayi Hassan Hussain hain giryaan uttho uttho
Kunbaah hai ab tumhaara pareshaan uttho uttho
Kuch bolthi nahin meri amma uttho uttho
Kaisi lagi hai neendh main qurbaan uttho uttho
Zainab kahegi ab kisey amma jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Bhaayi ka biyaaha bhi na rachaana huva naseeb
Hai hai dulhan ko ghar mai na laana huva naseeb
Bas haaye tumko ronaa rulaana huva naseeb
Ek din na chaen sey tumhey rehna huva naseeb
Kya kya thay dilmay aapkay armaan jawab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Aye gham naseeb maadar-e-muztar uttho uttho
Aayega sabr ab mujhey kyonkar uttho uttho
Uttho baraayeh khaaliq-e-Akbar uttho uttho
Sar peet thi hai aapki dukhtar uttho uttho
M ehboob-e-kibriyaa ki dil-o-jaan jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Deinay lagay jo ghusl toh royeh bahot Ali
Thaama jigar ko pehloo pa jis dum nazar padhi
Faarigh jo ghusl sey huvey rokar sadaa yeh di
Zainab ab aao dekhlo deedaar-e-aakhri
Beti tumhaari aayi hai is aan jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Bhaayi Hussain rothay hain uttkar galay lagaao
Gham may tumhare peet-thay hain sar inhey manaao
Kunbay sey apney aakhri milthey huvey toh jaao
Phir ek baar beti ko apni sadaa sunaao
Kya so rahi ho tumpa main qurbaan jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Baba hain sarf-e-giyaa-o-zaari uttho uttho
Dekho toh saarey ghar ki tabaahi uttho uttho
Tumko qasam hai haq ki main waari uttho uttho
Lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho
A aye hain dar pa buzar-o-salman jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh
Jannath ko aye Nabi ki dil-o-jaan jaayieh
Ab ghar hamaara hogaya sunsaan jaayieh
Phir ek baar ho loon toh qurbaan jaayieh
Khaaliq hai ab tumhaara nigehbaan jaayieh
Kya daag humko deh gayi amma jawaab doh
A mma jawaab doh meri amma jawaab doh