Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan
Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan
todh gaye meri kamar bhaijaan
Rotih hae khaime mein Sakina wahan
sothay hain Abbas zameen par yahan
Margaya Akbar pidar : Shere jawan mar gaya
Thaamlo meri kamar : Shere jawan mar gaya
Sadqe karo laash par : Shere jawan mar gaya
Lut gaya bekas ka ghar : Shere jawan mar gaya
Quwwate baazu mera kya hogaya
zeenate pehlu mera kya hogaya
Ashiqe diljo mera kya hogaya
kya huva afsoas mera qadr daan
Hamko sabhaalega kaun : Shere jawan mar gaya
Laash utaega kaun : Shere jawan mar gaya
Bhai pukarega kaun : Shere jawan mar gaya
Qabr banaega kaun : Shere jawan mar gaya
Kya hua saqqae Sakina ko aah
kisne kiya mera bhara ghar tabaah
Kya hui Abbase biradar ki chah
ab gayi woh pyaar ki baatein kahan
Kaun qabar ley meri : Shere jawan mar gaya
Hai meri bekasi : Shere jawan mar gaya
Shere jawan mar gaya : Shere jawan mar gaya
Talq hui zindagi : Shere jawan mar gaya
Chalti hae dil par churi : Shere jawan mar gaya
Todho na ghurbat mein meri aas utho
dekho Hussain aaya hae Abbas utho
Rotah hae mazloom basad yaas utho
utho bus ab ghar mein chalo bhaijaan
Dhoom hae qaime mein waan : Shere jawan mar gaya
Karti hae Zainab fughaan : Shere jawan mar gaya
Seene mein hae dil thapaan : Shere jawan mar gaya
Kis se karoon mein bayaan : Shere jawan mar gaya
Haath se khoya dile ghamqaar ko
paaoun kahan apne alamdar ko
Der hui qanjare qoonqar ko
jaldi gale par ho mere ab rawaan
Ab koi chaara nahin : Shere jawan mar gaya
Zeest gawaara nahin : Shere jawan mar gaya
Zabt ka yaara nahin : Shere jawan mar gaya
Koyi hamara nahin : Shere jawan mar gaya
Mahe nabi Hashime wala nahin
us mere mehroo ka ujala nahin
Hae mera chahne wala nahin
nazroun mein taareek hae saara jahan
Aankhon ka taara mera : Shere jawan mar gaya
Ghar ka ujaala mera : Shere jawan mar gaya
Ashiqo shaida mera : Shere jawan mar gaya
Chaand ka tukda mera : Shere jawan mar gaya
Roohe Ali jaane nabi alvida
ashiqo shaidae aqi alvida
Laashae Abbase Ali alvida
aatey hain ab hum bhi chalo bhaijaan
Jaan hae mujh mein kahan : Shere jawan mar gaya
Ranj se hoon neem jaan : Shere jawan mar gaya
Lut gaya sab carawan : Shere jawan mar gaya
Jald ho qanjar ravaan :Shere jawan mar gaya
Shor hae faryaad ka Shaukat khamosh
khotey hain sub Sheh ke azadaar hosh
Kar yeh dua haq se ke ae parda poush
karna gunah hashr mein mere ayaan