Salam khaak nasheenoun
Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka
Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka
Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae
Khule saroun pah aseeri ki qaak udhaati hae
Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae
M useebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae
Salam bhejtey hain apni shahzadi par
Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar
Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi
Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi
Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein
Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein
Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain
Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain
Pahaad raat badi der hae saverey mein
Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein
Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi
Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi
Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi
Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi
Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam
Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam
Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi
Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi
Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey
Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi
Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein
Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein
Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz
Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz
Salam tum pah shaheedon ke bekafan laasho
Salam tum pah rasool-o-Batool ke pyaaro
Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae
Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae