Ahley haram pey aaj qayamat
Ahley haram pey aaj qayamat ki raat hai
Jungle darouna hay yeh wehshat ki raat hai
Hai hai yateem rotay hain ghurbath ki raat hai
Sar par nahin Hussain yeh furqath ki raat hai
Khaime jaley padein hain Shahey mashraqain kay
M itthi pey aaj sothay hain bachchey Hussain kay
Woh raat andheri aur woh maidaan-e-Karbala
Laashey padey hain reyth pey jinkay hain sar judaa
Ghurbath yeh keh rahi hai kay in par huvi jafaa
Chaadar udaaey kaun haram sab hain beyridaa
S ar dekay raah-e-haq mein yunhi naam kartey hain
Din bhar kay hain thakey huvey aaraam kartey hain
Shaam-e-ghareeban karti hai Zainab ajab fugaan
Naalon sey hil rahey hain zameen aur asmaan
Hai hai Hussain kehkay jo roti hai neemjaan
Run mein wahaan tadapti hai laash-e-Shahey zamaan
A awaaz aa rahi hai bahen main teray nisaar
A ey ghamgusaar meray yateemon sey hoshiyaar
Zainab ka sabr dekh kay hotha hai dil figaar
Bachon ko bibiyon ko jamaa kar kay sogwaar
Taskeen dilaasa deyti hai bhaayi ki ghamgusaar
Lekin Sakina puchti hai rokay baar baar
Baba kab aayeingay phupi baba kab aayeingay
S eenay pey apney woh mujhey phir kab sulaaengay
Zainab ney pyaar kar kay yateem-e-Hussain ko
Goudi mein apni ley liya is noor-e-ain ko
Bibi zaraa toh kijiyo kam shor-o-shain ko
Kal subha dekh lo gi Shahey Mashraqain ko
Behlaayi yoon phupi kay woh khamoosh hogayi
Gurbat sey maa kay zaanu pey sar rakh kay sogayi
Guzri hai aadhi raat falak bhi hai nauhagar
Girtey hain taarey toot kay maanind-e-Ashk-e-tarr
Aur chupkay chupkay rothi hai ek bibi nangey sar
Hai chob-e-khaimaa haath mein baandhi huvi kamar
Kaati hai raat ankhon mein Zehra ki gul-e-zaar
M asroof hai talaaya mein bhaayi ki sogwaar
Awaaz aayi ghodon kay taapon ki naagahaan
Dekha sawaar aata hai is simth bey takaan
Baddkar pukaari kaun hai kya kaam hai yahaan
Waaris humaarey qatl huvey lutt gaya makaan
A llah hai gawaah nahin paas maal-o-zar
Chaadar humari chinn gayi aur hum hai nangey sar
Lekin badaaey aata tha ghodey ko woh sawaar
Zainab kay pass rok liya aakay raahwaar
Ultti naqaab chehrey sey utraa woh Shehsawaar
Beti kay saamney thay khadey Sher-e-kirdagaar
H ai khaak sar pa thaamey kalejey ko aaye hain
Pursa bahen ko bhaayi ka denay ko aaye hain
Pehlaa kay haath baap sey Zainab lipatt gayi
Ro ro kehti thi meri qismat ulatt gayi
Baaqi jo Panjetan ki nishaani thi mitt gayi
Baba main apney bhaayi sey jungle mein chutt gayi
A mma ka ghar bharaa huva barbaad hogaya
S ehra jo Karbala ka tha aabaad hogaya
Ro kar kahaa Ali ney ho qurbaan yeh pidar
Soyi-yoh thodi der kay hoti hai ab saher
Dar peish subhaa ko hai tumhein Shaam ka safar
Darbaar mein yazeed kay jaana hai nangey sar
M ushkilkusha hoon zulm yeh dekhey na jaayengay
Beti rasan sey haath teray baandhey jaayengay
Aayi sadaa-e-Fatima faryaad Ya Ali
Kheti hamaari hogayi barbaad Ya Ali
Mushkilkusha-e-khalq ho rudaad Ya Ali
Bachchon pey meray hogayi beydaad Ya Ali
Kheti meri ujadd gayi ghar mera lutt gaya
Zainab hai bey ridaa sar-e-Shabbir katt gaya