Waarid huvi naagah shab-e-zarbath
Waarid huvi naagah shab-e-zarbath-e-Hyder
Bas kholtay hi roza kamar baandhi ajal par
Us shab thay kabhi sahen mein gahey hujreh kay andar
Humsaaye ko har baar nidaa deitay thay rokar
H yder ki sawaari su-ey firdous chali hai
Jaagoh yeh shab-e-qadr shab-e-qatl-e-Ali hai
Wallah main doh raatoun ka mehmaan hoon tumhaara
Tarr dekhogay kal khoon sey reesh-e-rukh-e-Zebaa
Barrseyga lahoo teen din aflaak sey harjaa
Aye saahibo imsaal-e-Ali Hajj mein na hogaa
Tum eid kay din rovogay Shabbar sey lipatt kar
R oyegaa Hasan baap kay mimber sey lipatt kar
Kulsoom ney rokar kaha waahasratho dardaa
Kya betiyaan ab sabr karein aapko baba
Kis tarhaa yaqeen tumko huva apni ajal ka
Farmaaya jo irshaad-e-Payambar hai woh hoga
Doh roz hai duniya mein bas ab qooth hamaara
E kkisveen ko uttheyga tabooth hamaara
Har ghar mein sadaa hoveygi kal haaye Ali ki
Kal rothi huvi aayegi yaan rooh Nabi ki
Haalath meray gham mein na bajaa hogi kisi ki
Kal aayegi yaan laash Payambar kay vasi ki
Kal shia bhi sar kholeingay aur ahle harum bhi
Zehra ki sadaa aayi kafan phaadeingay hum bhi
Zainab sey rivaayath hai kay thi chaar ghadi raat
Mushtaaq-e-qazaa ghar sey chaley Syed-e-khush zaath
Tasbeeh bakaff jamaa huvey deodi pa sadaath
Waan Sheh ney Azaan di yahaan ki sab ney munajaath
Guldastha ho Hyder sey sar afraaz hameishaa
Ya Rabb rahey duniya mein yeh awaaz hameishaa
Phir baad-e-Azaan kaan mein awaaz yeh aayi
Aye shiyo Ali qatl huvey haq ki duhaayi
Is nauhey sey aagaah huvi saari khudaayi
Chehroun pa Nabi zaadiyoun ney khaak uddhaayi
Jannath sey Nabi phaad kay daamaan-e-kafan aaye
S ar peet-thay masjid mein Hussain aur Hasan aaye
Baba ka lahoo pehlay toh chehroun pa lagaaya
Phir dono ney maa bayn-e-kileem unko utthaaya
Leykar jo chaley ronaa Ali ko bohath aaya
Shabbir ney poocha toh yeh Hyder ney sunaaya
R onaa yeh hai jab halq tu kattwayega pyaarey
Koyi tera laasha na utthaa laayega pyaarey
Sab rothay huvey daudey kay laasha waheen aaya
Hujreh mein yadullah ko masnadh pa littaaya
Abbas ko abbas ki maadar ney bulaaya
Sadqey ki tarhaa girdh Ali isko phiraaya
A ur boli kay ya Rabb meray waali ko shifaa dey
S adqey yeh pisar deythi hoon waaris ko bachaaley