Jab lutke Karbala se aseere sitam
Jab lutke Karbala se aseere sitam chale
Sajjad sar barahna ba dardo alam chale
Rothay saron ko peet teh paaband gham chale
Zainab ne laashe sheh se kaha bhai hum chale
M arne se aapke main yeh eeza uthati hoon
Darbar mein yazeed ke sar nangay jaati hoon
Hae hae mere musafire Karbobala Hussain
Hae hae mere ghareeb mere mehleqa Hussain
Hae hae tujhe na paani ka qatra mila Hussain
Hae hae tamam tanh tera tukde hua Hussain
Pyase gale pah qanjare bedad chal gaya
H ae hae tadap tadap ke tera dum nikal gaya
Le nainawa Ali ki biza-at tujhe mili
Ae Karbala Khuda ki amanat tujhe mili
Ae qaak meri maa ki riyazat tujhe mili
Le ae zameene shammey imaamat tujhe mili
Daman tera bhara meri kheti ujad gayi
S arhad mai tere bhai se Zainab bichad gayi
Yeh kehke sar ko peet ke roi woh dil jalee
Aakar Najaf se haal mera dekho ya Ali
Gardan rasan mein aapke beti ki hae bandhi
Kehti yeh Maariya se woh ba chashm tar chali
H ae hae mai Karbala-e-mo-alla mein lut gayi
Pardes mein mai aake biradar se chut gayi
Kya lutf zindagi ka jo naqsha bigadh gaya
Kyonkar na tadpoon aah bada paich padh gaya
Is qaafele ka qaafela waala bichad gaya
Hae hae hamara kaisa bhara ghar ujad gaya
Pardesiyon ne chawni jungle mein chaai hae
Bhai ne mere ek nayi basti basaai hae
Mehmaan bula ke hum se dagha ki laeenoun ne
Kya kya na hum pah jorojafa ki laeenon ne
Kuch bhi zara na sharmo haya ki laeenon ne
Gardan qifa se sheh ki juda ki laeenon ne
Qaima jala ke ahle sitam shaad hogaye
H um Karbala mein aan ke barbaad hogaye
Bhai pah mere saamne naize chala kiye
Teghho tabar badan pah barabar laga kiye
Shabbir shukr shukr he moonh se kaha kiye
Utra na shumr seene se besar judah kiye
R othi rahi mae woh sare Shabbir le gaya
Bhai ki mere khoon bhari tasweer le gaya
Faryad hum ghareebon ki suntah nahin koi
Kis se kahoon jo hum pah museebat guzar gayi
Chadar bhi moonh chupaane ko sar par nahin rahi
Sar khole shahre Shaam mein aayi mai diljali
A ada hamein dikha ke sare sheh rulaate hain
A b saamne shaqi ke mujhe leke jaate hain