Abbas, Abbas, Abbas

 Allahuma adkhil alaa ahlil quboor-is-suroor

Allahuma aghni kulle faqeer

Allahuma ashbi kulla jaa’i

Allahuma ashfi kulle mareez

Behaqqe Hazrat-e-Abbas

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Beta hai tu Ali ka,Zehra ki tu dua hai

Shabbir tera Aaqa,Ummul Baneen Maa hai

Har Surato chalan mai Haider sey na judaa hai

Ta hashr tuj sey qaayam duniya mai bas wafa hai

           Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Tere Alam ko thaamey,Har shaqs keh raha hai

Mazloom-e-Karbala ka,Zainab ka waasta hai

Pardesi koyi aisa,pardes may na ujdey

Sadqey mai uske jiska,Ghar baar lutgaya hai

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Us waqt jabke Zainab,darbaar mai gayi thi

Qaari Namaazioun sey,mehfil saji huvi thi

Zaalim yeh poochta tha,ghaazi tera kahaan hai

Baaloun sey muh chupaaye,Zainab yeh keh rahi thi

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Taqdeer ke sataaye,tere dar pey sar jhukaye

Ashkoun ki iltija hum,ghaazi tujhe sunaaye

Beemar saaribaan ke,zakhmoun ka waasta hai

Jitne bhi khasta dil hai,maula shifa woh paaye

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Dil ki muraad Ghaazi ,tere Alam se paaye

Rothi huvi jo maaen,tere Alam pe aaye

Zahra ke dard-e-pehlu ka,deithi hai waasta

Fizza ki kaneezi mai,mera bhi naam aaye

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Shaame Gharibaan mei jis,ka kurta jalgaya hai

Kaanou sey baaliyaan bhi,haaye Shimr legaya hai

Is bebasi sey Maula,bacchi koyi na tarsey

Farsh-e-Aza pe rokar,har dil yeh keh raha hai

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hain

Maasuma ki qasam hai, ghazi faqat tere hain

Woh kuch raqam karoon mai, jo na raqam huva hain

Alfaaz woh ataa kar,Yawar se jo pare hain

        Abbas, Abbas, Abbas (x2)