Salaami har taraf

Salaami har taraf shor-e-bukaa hai

Vidaa-e-Hazrath-e-Mushkil Kushaa hai

Tazalzul masjid-e-Kufaa main hai aaj

Suthoon-e-Kaaba-e-Imaan giraa hai

Ali ibne Abi Taalib mera sher

Abhi Talwaar sey Zakhmi huva hai

Pakadd kar ibne muljim ko jo laaye

Kaha ashaab ney ab hukm kya hai

Ba shafqath poocha qaatil sey Ali ney

Qataah meri hai ya teri qataah hai

Kiya bin baap ka bachchoun ko meray

Yehi ehsaan ka meray silaa hai

Kisi ney juz Ali qaatil ko apney

Damay iftaar bhi sharbath diya hai

Ali aisa saqhi tha waah dar yeghaa

Galaa Shabbir ka pyaasa kataa hai

Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki

Na Shah ki huvi aal Mushkil kusha ki

Yeh maana hai tasleemo sabr-o-reza kay

Kay qaatil kay haq mein bhi sheh ney dua ki

Yeh kehti thi binte Ali waqt-e-ghaarath

Kuch aye Shimr qeemath nahin is rida ki

Meray sar pa lillah rehnay dey isko

Kay yeh kehna chaadar hai khairunnisa ki

Tamashaayi kehthay thay koofey mein hanskar

Yeh sar nangay zainab hai qudrath khuda ki

Utta raath ko jiski maa ka janaaza

Woh ab din ko mohtaaj hai ek rida ki

Na baandho meray haath kehti thi Zainab

Layeenou mai beti hoon Mushkil kusha ki

Na chhuti damay marg takh Fatima sey

Ita-ath Ali ki Ibaadath Khuda ki

Rahay haath chakki sey majrooh dono

Yeh haalath thi maqdooma-e-Aasiya ki.