Bano ki aaj kis liye sunsaan

Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai

Bachchi ko kya huva aray veeraan goadh hai

Maa sar jhukaaye bhaitee hai veeraan goadh hai

Baali Sakina margayi sunsaan goadh hai

N aazoun sey jo pali thi Shahey Mashraqain ki

M itti main aaj milthi hai bachchi Hussain ki

Bano kay bayn hain meri goadhi ujad gayee

Baaqi thi Sheh ki ek nishaani kidhar gayee

Ya Rab main kya karoon meri bachchi bichadd gayee

Amma ko rothi chodd kay beti kidhar gayee

A awaaz ek baar toh maa ko sunaao tum

Bano jiye toh kaisey jiye yeh bathaao tum

Hai hai jawaan betay ka sehra na dekhi main

Asghar ko haaye ghuttniyo chalthaa na dekhi main

Armaan koyi apna nikalthaa na dekhi main

Teiray bhi koyi kaaj ko hotha na dekhi main

Waaris ka saaya utt gaya betoun ko khoyi hoon

Baaqi jo ek bachchi thi aaj uspaa rothi hoon

Thi aarzoo main tumko parwaan chadhaaoongi

Dulhan banaakay dhoom sey shaadi rachaaoongi

Dil kay tamaam apney main armaan nikaaloongi

Yeh kya khabar thi khaak main tujhko milaaoongi

M ain badhnaseeb reh gayee ronay kay waasthay

Tum jaa rahi ho qabr main sonay kay waasthay

Sajjad bolay sabr karo tum par main fidaa

Maiyath utthaaney jhuk gaya beemaar bey dawaa

Moonh rakh kay moonh pa bola bahen teiray main fidaa

Tujhko milaaney khaak main Sajjad rehgaya

Tharraaye haath aur museebath bapaa huvi

M aiyath uttnaa tha kay qayamath bapaa huvi

Maiyath nikal rahi hai andheira makaan hai

Laaye charaag kaun paraaya makaan hai

Kurtha kafan hai phool hai naa saayebaan hai

Ghurbath ki mauth hai yeh yateemi ki shaan hai

M aiyath bahen ki bhaayi kay haathoun pa aathi hai

H ai hai Sakina qabr main sonay ko jaathi hai

Maa sar ko peet kar yehi kehthi hai baar baar

Aahistha leykar jaayioh betaa teiray nisaar

Jaakar na phir yeh aayegi Baba ki soghvaar

Jee bharkay dekh leinay doh phir mujhko ek baar

L ogo bathaao kaisey main kafnaaney doon isey

M aa hoon main kaisey gaardney ley jaaney doon isey

Bhaayi kay haath zouf sey jab thar tharaathay hain

Nanhi si laash seenay sey liptaaye jaathey hain

Zanjeer jab ulajjthi hai ghabraaye jaathey hain

Soorath bahen ki dekhtay hain rothay jaathey hain

S adhmey bahot utthaayi hai beti Hussain ki

Gardhan bhi hai cheelee huvi is noor-e-ain ki