Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey
Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey jigar huva
Sipaara dil ka aahoun sey zair-o-zabar huva
Sim ka jo roohey paak pa zaaher asar huva
Haal is Imaam-e-paak ka is dum digar huva
R aahath ney farq aur shikam may khalal padaa
Kattkar kaleijaa tashth ke andar nikal padaa
Bistar pa dard-e-dil sey thadapney lagay Imaam
Sadhmay sey sabz honay laga roohey surq-e-faam
Chillaayeh haath sey yeh kalejay ko thaam thaam
Daudo bahen ke kaam hamaara huva tamaam
Yeh kehthay kehthay zard rukh-e-paak hogayaa
Chillaathay thay ke haaye jigar chaak hogayaa
Daudeen Janaabe Zainab beikas barhaina paa
Dekhaa ke loat-thay hain bichounay pa Mujtabaa
Boli yeh sar ko peet ke woh gham mai mubteilaa
Hai hai behan nisaar ho bhaayi yeh kya huva
Kya phir kisi ney zehar-e-daghaa sey pilaa diya
Kisney meray kaleijay pa Khanjar chalaa diya
Takiyaa lagaa rahay thay Haram jo idhar udhar
Baazu ko thaam leythi thi koyi toh koyi sar
Farmayaa laao tashth huva zehar ka asar
Reh reh ke koyi kaat-tha hai teigh sey jigar
Baddtaa tha jab ke dard-e- jigar may Imaam ke
Jhuktay thay baar baar kaleijay ko thaam ke
Zainab ney jald laake rakhaa saamney lagann
Haathoun sey dil pakadd ke jhukey sarwar-e-zaman
Aayi jo khaiy toh kaan-e-jauhar bana dahann
Almaas khaakay laal ugalney lagay Hassan
R ang-e-Zamarudhi ka asar ab ayaan huva
M eiraaj ki hadees ka mathlab ayaan huva
Farmaathe thay Hassan ke bulaao Hussain ko
Tha dam ba dam yeh hukm ke laao Hussain ko
Bhaayi ka haal-e-zaar sunaao Hussain ko
Tukkdey meray jigar ke dikhaao Hussain ko
Kehdo ke jald aayieh rehlath ka waqt hai
S un jaayieh kuch aakay wasiyath ka waqt hai
Aaye Hussain ithney may baa chashm ashkbaar
Chillaathay thay ke aapki ghurbath ke mai nisaar
Shabbar galay ko choom ke kehthay thay baar-baar
Main tum pa sadqay aye meray naana ke yaadgaar
M ujhsey ziyaada zulm-o-sitam tum pa hoyeingay
H um qabr mai tumhaari museebath pa royeingay
Bhaiyaa tumhaari goadh mai nikleigaa mera dum
Tum doh gay humko ghusl-o-kafan jab mareingay hum
Hoga tumhaarey paas na koyi bajuzz alam
Qaatil sarhaaney hoyegaa ya khanjar-e-sitam
S habbar toh baad-e-marg bhi raahath sey soyegaa
L aasha tumhaara ghodoun sey paamaal hoyegaa