Zaqmi sina se run mein jo sheh
Zaqmi sina se run mein jo sheh ka pisar hua
Har simt se laeen har ek hamlawar hua
Tar qoon mein marqae qairul bashar hua
Aqir juda iqaab se woh sembar hua
Maqtal mein kya hujoom tha is noore ain par
Parwane gir rahe they chirage Hussain par
Girna tha bas ke sar pa laga gurz hai sitam
Yoon jhuk gaye ke hote hain sajde main jaise qam
Rakhdi gale pah sheesh ne shamsheere tez dum
Talwar ek padi ke hui phasliyan qalam
Ghul tha karo na rahem tan-e paash paash par
Dowda doh ghode Akbare mehroo ki laash par
Hazrat khade thay qaime ki pakde hue tanaab
Sun kar yeh ghul rahi na dile naatawan ko taab
Naagah aai run se sada ae falak janab
Beta jahan se jata hae ab aayieh shitaab
Laashe pah zulm-o jor badh af-aal karte hain
Ghodon se ahle keen hamein paamal karte hain
Sunkar yeh isteghasa farzande khush qisaal
Sayyad ne aah ki ke hila arshe zuljalaal
Khole Janabe Fatema ki betiyon ne baal
Bano pukari qair toh hae ae Ali ke laal
Hae hae pisar se kaunsi maadar bichad gayi
Sahab batao kya meri basti ujad gayi
Naize se kiske laal ka zakhmi hua jigar
Karte hain kiski laash ko paamal ahle shar
Kehta hae kaun run mein tadap kar pidar pidar
Ab ghar se mein nikalti hoon ya syeddul bashar
Parda na mujhse kijiye sab jaanti hoon mein
Awaaz yeh usi ki hae pehchaanthi hoon mein
Bano ko qasmein deke chale shahe naamdar
Woh pyaas aur woh dhoop ka sadma-o izteraab
Dil tha ulat palat toh kaleja tha beqarar
Uthte thay aur zameen pah girte thay baar baar
Chillate thay shabihe payambar hum aate hain
Ghabraiyo na ae Ali Akbar hum aate hain
Aaoon kidhar ko ae Ali Akbar jawab doh
Chilla rahi hae dewdi par maadar jawaab doh
Akbar baraae qaliqe Akbar jawab doh
Beta jawab doh mere dilbar jawab doh
Girte hain hum sawaab ka hathon se kaam lo
Beta zaeef baap ke bazoo ko thaam lo
Laashe pisar ko dhoondhtey thay Shahe behrobar
Sar peetne ki jah hai ke hanstey thay ahle shar
Kehta tha shumr ae pisar Syed-ul-Bashar
Kisko huzoor dhoondhtey hain margaya pisar
Qud dhoondh lijeeye jasad-e paash paash ko
Batlaaenge na hum Ali Akbar ki laash ko
Yeh sunke kheinchli Sheh wala ne zulfiqaar
Chamki joh barq tegh toh bhaage sitam shiaar
Sheh ko nazar pada Ali Akbar ka raahwaar
Chillaye ae aqaab kidhar hae tera sawaar
Dikhlaadey mujhko laash mere noore ain ki
Kis dasht mein padi hae biza-ath Hussain ki
Ghode ne hinhina ke suey dasht ki nazar
Yaane ke laash aapke pyaare ki hae idhar
Jaata tha aagey aagey woh taazi bachashme tar
Ghoday ke peeche jaatey thay hazrat barehna sar
Jungle mein laashae pisar-e naujawaan mila
Woh mehleqa mila pah magar neem jaan mila
Hichki ke saath kehtey hain wa karke chashme tar
Aye jaane jism zaar mein ek dum zara tehar
Aye mauth bewatan ki jawaani pah reham kar
Aye dard tham zara ke phadaktah hae ab jigar
Phir ek baar Syedde wala ko dekhloon
Mohlath bus itni dey ke main baba ko dekhloon
Dushman ko bhi na bete ka laasha Khuda dikhaaye
Hazrath zameen pah girke pukaare ke haye haye
Zinda rahe yeh peer jawaan yoon jahan se jaaye
Aye laal teen roz ke faaqe mein zaqm khaaye
Shaayad jigar ke zaqm se tum beqaraar ho
Zaqmi tumhari chaathi pah baba nisaar ho