Jab shah ko safar mein bahut din
Jab shah ko safar mein bahut din guzar gaye
Sughra ko gham hua ke musafir kidhar gaye
Kehti thi ghar bhara huva veeran kar gaye
Kya jaane kis taraf mere bekas pidar gaye
H ae showq dil mein sibte payambar ke deed ka
Kya wajah hae ke qath nahin aaya raseed ka
Pardesiyon ke gham mein hae jeene se mujhko yaas
Bistar pah moonh lapete padi rehti hoon udaas
Baba safar se aayenge jab tak na mere paas
Tab tak badan se maina utaroongi yeh libaas
Jeeti rahi toh wasle imame zaman hua
A ur margayi toh bas yehi kurta kafan hua
Aati nahin hae kuch qabere sayyadul anaam
Basti kahan basaai kiya kis jagah maqaam
Kyon nani jaan aap toh sunti thi woh kalaam
Ruqsat ke waqt mujhse joh farmaate thay imam
Kehte thay qath bhi aayega Akbar bhi aayenge
S ughra na ro-o hum tumhein jaldi bulaenge
Dekho na qath aaya na Akbar wahan se aaye
Kuch haadesa pada shahe deen par safar mein haye
Kis se kahoon ke sibte nabi ki qabar ko jaaye
Allah mere baap ko jaldi watan mein laaye
S unti hoon dost kam hae shahe mashreqain kay
Dushman bahut hain Fatema ke noore ain kay
Maango dua ke sibte payambar ki qair ho
Abbaso Qasimo Ali Akbar ki qair ho
Behno ki qair ho meri maadar ki qair ho
Garmi ka hae safar Ali Asghar ki qair ho
A mma ko uska doodh badhana naseeb ho
Phir ghar mein leke qair se aana naseeb ho
Yeh kehke moonh ko dhaamp ke ro-ee woh nauhagar
Kurta tamaam hone laga aansu-on se tar
Naani dilaasa dene lagi paas aankar
Qurban jaaoon rothi ho kyon dhyan hae kidhar
Veeran karenge shaher ko jungle basaenge
A b kya quda na qaasta hazrat na aayenge
Charcha hua yeh shahre Madine mein jabaja
Sughra se aake madare Abbas ne kaha
Zaano pah sar jhukaae hue ro rahi ho kya
Shabbir aaye shukr ka sajda karo ada
N aake pah fouj tehri hae vaari Hussain ki
A ati hae koi dum mein sawaari Hussain ki
Nani ne tabh yeh us se kaha ho ke shaad shaad
Sughra tumhein na tha mere kehna ka aetemaad
Main kehti thi ke aate hain ab shahe qush nihaad
Poori Khuda ne ki joh mere dil ki thi muraad
Dekhongi aaj baap ko maadar ko bhai ko
L o kapde ab badal lo chalo peshwaai ko
Woh boli mere dil mein hae kuch aur hi qayal
Jab tak na ghar mein aayega Qairunnisa ka laal
Kapde na badloongi na mein goondhoongi sar ke baal
Aane doh unko jinke liye hae yeh mera haal
S hikwe karoonge ankhon se aansu bahoongi
Baba ko yeh phata hua kurta dikhaoongi
Yeh kehke goadh mein liya beemar ko utha
Aur ruq kiya su-e lehade pake Mustafa
Nazdeek jab gaye toh yeh ghul yek ba yek hua
Aaya hae bay Hussain ke beemare karbala
M aatam karo habeeb Khuda ke habeeb ka
S ar kat gaya badan se Hussaine ghareeb ka
Kehkar yeh baat ghar se chali duqtare anaam
Naani bhi saath hogayi jaldi asa ko thaam
Dekha har ek taraf ko hae qilqat ka ijdehaam
Kehne lagi yeh madare Abbase nekh naam
M ujhko toh hae yaqeen ke ab yeh ghar na aayenge
S habbir pehle qabre payambar pah jayenge
Aye saakinaane sheher-e-Madina udaao qaak
Kardalo aah apne garebaan chaak chaak
Shabbir teen roz ka pyasa hua halaak
Chaalees veen talak raha bay gore jisme paak
Paoge phir na Fatema ke noore ain ko
H um Karbala mein dafn kar aaye Hussain ko