Qaid khaane mai talaatum hai
Qaid khaane mai talaatum hai kay Hind aathi hai
Dukhtar-e-Fatema ghairath sey mooee jaathi hai
Rooh qaalib main woh zindaan main ghabraathi hai
Bey hawaasi sey har ek baar woh chillaati hai
A asmaan door zameen saqth kidhar jaaoon main
Bibiyo milkay dua maango kay marjaaoon main
Kya karoon kya na karoon jald bathaao logo
Sadqaa Akbar ka hiqaarath sey bachaao logo
Oatt karkay ho khaday mujhko chupaao logo
Ya kisi goshay main leijaa kay bitthaao logo
S ar khuley ho kisi hujreh main mujhey bandh karo
H ind aathi hai mujhey khaak ka paewandh karo
Is tarhaa Hind kay aaney sey na ghabraaoon main
Binte Hyder hoon na kyon qaid mai sharmaaoon main
Koyi deewaar jo shaq ho toh samaa jaaoon main
Seedhay maajayeh kay maqtal ko chalee jaaoon main
Karbala main na yeh zillath hai na ruswaayi hai
Beyrida main hoon toh beygoar mera bhaayi hai
Naagahaan Fizza ney di Ahley Harum ko yeh khabar
Hind aathi hai baday jaaho tajammul sey idhar
Beeraqay nuqraa-o-zar ki hain juloo kay andar
Sab kaneezein toh ridaa odhi hai woh nangay sar
Par sawaari bahot aahistha ravaan hothi hai
H ar qadam hind teiharr jaati hai aur rothi hai
Kehthi hai qaidiyoun kay shor-e-bukaa ney maara
Mujhko is haaye Hussaina ki sadaa ney maara
Inkay sardaar ko kis ahley jafaa ney maara
Kya woh Syed tha jisey ahley daghaa ney maara
E k bijli si kaleijey pa meray girthi hai
N angay sar Fatema aankhoun kay taleh phirthi hai
Hogaya zibhaa koyi khaasa-e-baari logo
Ins-o-jinn-hoor-o-malak karthay hain zaari logo
Ley chalo suaiy Najaf meri sawaari logo
Hogi mushkil waheen aasaan hamaari logo
Khair sey hain meray Aaqa toh woh sothay hongay
Warnaa marqadh main Ali betay ko rothay hongay
Laundiyaan thi zann-e-haakim kay juloo main jo ravaan
Dekhthi kya hain kay ek shair hai aahan main nihaan
Laagarr-o-khastha tanh-o-faaqa kash-o-tashnaa dahaan
Mooh pa seili kay nashaan pushth pa durroun kay nashaan
S aaqay pa faaqay sey zanjeer main tharraathi hai
I stakhaanou sey larazney ki sadaa aathi hai
Sab ney mooh karkay suaiy hind yeh ki nauhagari
Dekhiye shaam kay zindaan main charaag-e-sahari
Yaad-e-Khaaliq main jo hai khalq sey hai beykhabari
Kyon musalsil kiya yeh toh hai adham ka safari
Kisney dam bandh kiya touq-e-jafaa sey iskaa
S ilsilaa miltha hai kuch shair-e-Khuda sey iskaa
Girdh Abid kay phiree hind ba haal-e-tagheer
Rakh diya paaooun pa sar apna hataakar zanjeer
Bolay woh kaun hai boli kay Kaneez-e-Shabbir
Assalaam aye rasan-o-touq-o-salaasal kay aseer
H ai waseeyath ka mahal marney pa taiyaar hai tu
Kuch kafan kay liye rakhtha hai kay naadaar hai tu
Gham na khaa gor-o-kafan main tujhey doongi Lillah
Nangay sar teiray janaazey kay chaloongi humraah
Marney waaley tera kya naam hai kabsey hai tabaah
Bolay Maula abhi chaalis baras jeena hai aah
N aam beykas bhi hai qaidi bhi hai beemaar bhi hai
H aal yeh hai kay aseeri bhi hai aazaar bhi hai
Hind ney poocha maraz kya hai kahaa beypadari
Rokay woh boli dawaa kya hai kahaa nauhagari
Ghar jo daryaafth kiya kehnay lagay darbadari
Boli leytha hai qabar kaun kaha beykhabari
A ah karnay ka sabab poocha toh sharmaaney lagay
Taaziyaanou kay nashaan pushth pa dikhlaaney lagay