Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj

Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj maatam hai

Azeezo Zeenath-e-Hyder ka aaj maatam hai

Ali ki laadli dukhtar ka aaj maatam hai

Ghareeb-e-shah ki khwahar ka aaj maatam hai

S akoon-e-qalb Khuda ke Habeeb ko dijiyeh

Bahen ka pursaa Hussain-e-Ghareeb ko dijiyeh

Dubaara qaid huvey jab Syed-e-Sajjad

Aseer karke suey shaam leichaley jallaad

Tadap ke saath huvi haaye Zainab-e-naashaad

Nabi ke Rauza-e-aqdas pey jaake ki faryaad

S haheed hogaya bhaayi Hussain aye nana

M agar nahin hai layeenou ko chaen aye nana

Phir aaj Abid-e-bekas ke saath jaathi hoon

Yazeed nehas ko khauff-e-Khuda dilaati hoon

Khuda ney chahaa toh is laal ko chuddaathi hoon

Hayaat baaqi agar hai tho waapas aathi hoon

Jo aaye raah may maut aap aayieh naana

H amaari laash pey aansoo bahaaiyeh naana

Yeh sunke utt ke gayi Fatema ke Rauzay par

Lipat ke qabr sey kehnay lagi yeh khastha jigar

Utto utto meri amma ke aayi hai dukhtar

Aseer hogaya phir mera Abed-e-muztar

Tamaam ghar ko ujaada magar na chaen aaya

Dubaara Syed-e-Sajjad par sitam dhaaya

Phiraachukaa tha sitamgaar dar-ba-dar amma

Dikhaaya naizey pa bhaayi ka mujhko sar amma

Madina bheja tha ghar baar loot kar amma

Phir aaj hotha hai veeraan saara ghar amma

Chala hai qaid may phir Zainul-Abideen hai hai

R ahegi chaen sey kya Zainab-e-hazeen hai hai

Sada-e-nauha Zehra ki lahadh sey aaney lagi

Kisi Nabi ney bhi aisi jafa nahin dekhi

Nisaar maa teri mazloomiyath ke aye beti

Tadap rahi hoon main aye meri dard ki maari

M ain saath chalti hoon aye jaan-e-Zainab-e-muztar

Yeh bulbulaan teray qurbaan Zainab-e-muztar

Sunaa jawab siva haaye ashkbaar huvi

Qaraar ithna na tha aur beiqaraar huvi

Badan laraztaa tha naaqey pa jab sawaar huvi

Hazaar zabt sey rukhsath jigar figaar huvi

Pukaari jaati hoon rukhsath karo Khuda hafiz

M ilougi raah may kisjaa kaho Khuda hafiz

Ravana hogayi phir suey-shaam waawaila

Khamoosh rothay thay chauthay Imaam waawaila

Azeez karthay thay milkar tamaam waawaila

Layeen ravaana huvey taiz gaam waawaila

L ikha hai raah may ek manzil-e-ghareeb aayi

Batool zaadi ki hai hai qazaa qareeb aayi