Sar peeto aaj Moosiye Jaffar
Sar peeto aaj Moosiye Jaffar huva shaheed
Ibney Ali-o-ibney Payambar huva shaheed
Gurbath mein aah Kazim-e-beypar huva shaheed
Lo mominon ka saathwaan rehbar huva shaheed
Pilwaaya zaher baadey Shahey khaaso aam ko
Haroon na rasheed ney maraa Imam ko
Kis tarha sey bayaan karoon zulm-e-ahley keen
Afsos paitt bhar kabhi khaana milaa nahin
Faaqey pa faaqa karta tha Ahmad ka jaanasheen
Zindan mein chawda saal thay mehboos Shahey deen
Taaqath na thi zaraa bhi qawood-o-qiyaam ki
Haalat yeh thi Imam Alaihis Salaam ki
Di ummat-e-Nabi ko na Hazrat ney badd dua
Har waqt Sheh kay labb pey rahaa Shukr-e-Kibriya
Sindi kay taziyaanon ki har roz thi jafaa
Behta tha khoon jism sey roohi lakal fidaa
Izza-e-qaid aisi kisi ney sahi nahin
Beydaad is tarha ki kisi par huvi nahin
Alqissa zaher aapko angoor mein diyaa
Jis sey Janaab-e-Moosiye Kazim ney ki qazaa
Baazon ney likhaa hai yeh shahaadat ka maajera
Piglaa kay sheesh aap ko jabran pilaa diyaa
Kaisey kahoon kay haal huva kya Imam ka
Jal kar huva kabaab kaleijaa Imam ka
Ghul padd gaya kay Moosiye Kazim ney ki qazaa
Laashey ko laakay jasr pey adaa ney rakh diyaa
Aur chehra-e-Imam sey kapddaa hataa diyaa
Doh roz yuhin laash ka chehra khilaa rahaa
Thi laash beykafan Shahey Aali muqaam ki
Tauqeer thi yeh Aaley Rasool-e-Anaam ki
Nazdeek bhaayi tha na pisar tha na bhaanja
Tanhaayi mein yeh zulm-o-sitam wa museebataa
Do rooz takh toh jasr pey laasha pada rahaa
Mayyat pey roney walaa bhi hai hai koyi na thaa
Sadmey utthakay haaye jahaan sey guzar gaye
Gurbath mein aah Kazim-e-zeeshaan margaye
Shiaa nisaar aapki ghurbath kay Ya Imam
Ghurbat mein tum shaheed huvey aye Shahey Anaam
Bey jurm maraa aapko ya Shaahey khaas-o-aam
Haroon ney haif kar diya kaam aap ka tamaam
Khauf-e-Khuda na khauf-e-Rasool-e-Khuda kiya
Shammey hayaat aap ki zaalim bhujaa diya
Misl-e-tamashaa dekhtey hain saarey mard-o-zan
Hai zair-e-aftaab Imam-e-Huda ka tanh
Haroon ka bhaayi laash pey aaya basad mehan
Hazrat ko apney ghar sey diya kheemti kafan
Kazim kay paas bheja Khuda ney fidaayi ko
Lekin kafan mila na Shahey Karbalaayi ko