Kis umr mein Ali un Naqi bey
Kis umr mein Ali un Naqi bey pidar huvey
Bachpan mein dil pey chott lagi nauhagar huvey
Yasrab mein jaanasheen-e-Shahey behrobar huvey
Yeh waarisey bizaa-atay khair ul bashar huvey
Ilm-o-Amal ko maan liya shaikh o shaab ney
Kya kamsini mein paayi buzurgi janaab ney
Charkhey neham Imam-e-deham ka maqaam hai
Pushto panaah arshey bareen inka naam hai
Har chaar simt maddah o sanaa-e-Imam hai
Tasbeeh sashjahat ki durood-o-salaam hai
Naari hai jo kahey kay yeh noor-e-khuda nahin
Anwaar khamsa-e-najbaa sey judaa nahin
Aye door charqhey raah yeh kaisa hain intezaam
Khamosh kyun rahoon kay shikayat ka hai maqaam
Rehney na paaye chain sey istarha ka Imam
Qayam maqam iskay huvey dushmaney Imam
Farzand per rasool kay ummat jafaa karey
Pursa na jab koyi ho toh mazloom kya karey
Tayyar qatl per mutawakkil raha madaam
Majboor rehgaya wo aduwey Shahey anaam
Pahuncha safar mein choddkay yeh kaarey na tamaam
Qayam maqaam iskay huvey dushmaney Imam
Fursat mili na dilbar-e-Sher-e- ilaah ko
Tadbeer motemadh sey milaa zehr Shah ko
Wo khalq ka masih huva sahibey firaash
Bey hiss tha jism farsh pey goya padi thi laash
Kunj lahad ki goshaa nasheen ko huvi talaash
Suraaqh dil mein tha toh kaleija tha paash paash
Aatey thay haal dekhney baashindey Shahr kay
Pothaa Raza ka marta tha sadmey sey zehr kay
Raawi bohot sey haashmi is kay hain la kalaam
Jin mein hai ek ka Hasan ibn-e-Hussain naam
Aaya jo roz rehlat-e-Shaahey falak maqaam
Sehney makaan mein farsh pey thay jalwagar imam
Majma bohot tha Syed-e-zijaah kay qareeb
Mardam thay jamaa yak sad-o-panjaah kay qareeb
Nagaah Askari nazar aaye humein udaas
Dakhil huvey makaan mein ayaan chehrey sey thi yaas
Paband hazan khaak gareebaan o beyhawaas
Dahni taraf khadey huvey aaker pidar kay paas
Kis haal mein hain koun yeh hain jaantey na thay
Huzzaar-e-Anjuman inhey pehchaantey na thay
Noor-e-nazar ko dekh kay Hazrat ney yeh kaha
Kar shukr kirdegaar kay aye meray mehlaqaa
Haadas ek Amr teray liye haq ney hai kiya
Roney laga yeh suntey hi wo raaziye Raza
Bola kay shukr marhamat-e-Zuljalal hai
Dey apni nematein yeh Khuda sey sawaal hai
Poocha kisi ney tabh huva maalum sab ko haal
Yeh hain Hasan janab-e-Ali un Naqi kay laal
Zaahir huva jo umr ki jaanib kya khayaal
Hoga qareeb bees baras kay yeh khush Jamaal
Samjhey ishara hum yeh kalaam-e-Imam ka
Hain jaanasheen yahi Shahey aali muqaam ka
Rothaa raha Wasi e Shahinshahey behrobar
Sa-ath wo aayi sar sey uttha saaye-e-pidar
Saameray sey jinaan ki taraf hogaya safar
Hai hai chuttaa musafir-e-yasrab sey yeh bhi ghar
Ghul paddgaya wafaat-e- gharibul watan huvi
Saamaaney ghusl ka huva fikre kafan huvi