Mominon aaj Khuraasan mein hae
Mominon aaj Khuraasan mein hae taaza matam
Thartharate hain falak arshe zameen lowho qalam
Aate hain aale aba qaak udaate baham
Abedo Baqaro Jafar-o-janabe Kazim
M oonh ko sab yeh hazraat aansuon se dhotthey hain
Jama mayyat ke uthane keliye hothey hain
Kya kiya qahr ke bejurmo qatah ko maara
Dilbare Fatema-o shere Khuda ko maara
Zehar dilwaake gharib ul ghuraba ko maara
Aaj Mamoon ne mazloom Raza ko maara
Khaak mein milgaya ek aur gule baghe Zehra
Gul hua aaj Khuraasan mein chiraage Zehra
Is tarha waqia hae aaj ka raavi ne likha
Ibne Haroon ne hazrat ko jyunhi bulwaya
Aaye darbar mein jis waqt imame dosara
Taqt par apne qareen shah ko bhi bithlaya
Phir kaha shah se farmaiye toh pesh karoon
A apke waasthey angoor mai lay rakho hoon
Kaha mazloom ne mujhko nahin angooroun ki chah
Kis liye saamne hae tasht joh tu ne rakha
Kiya israar jo usne toh imame zeejah
K haake angoor ko kehne lage innalillah
Poocha Maamoon ne kya baat hae farmaiyega
S ar jhuka kar kaha masmoom ne maloom hua
Khake angoore dagha aaye hain ghar ko apne
Khae kiye jaate hain pakde huve sar ko apne
Dard hota hae dabaate hain jigar ko apne
Yaad farmate hain hamsheero pisar ko apne
S yeddo bekaso mazloom gharibul ghuraba
M uztarib haal hain yeh masmoom gharibul ghuraba
Mauth ka aagaya chehre pah pasina yaro
Ghash mein hae waarise sutan-e-Madina yaro
Aathwaan mohre nabuwat ka nagina yaro
Khaak mein milta hae Ahmed ka qazina yaro
Daro deewar ko hasrat se Raza dekhte hain
A ur unhein yaas se sab aal-e-aba dekhte hain
Peet-ti hae kabhi sar ko kabhi tharrati hae
Fatema is tarah ronay ke liye aati hae
Janibe arshe ulah roohe Raza jaati hae
Bekasi laash pah roro ke yeh chillati hae
M auth ki hichkiyan ab leta hae dilbar uska
Chaar hammal uthaye thay janaza jiska
Sach hae ghurbat ki ajab mauth hae aye ahle aza
Na koi moniso yaawar na dawa hae na ghiza
Bistare marg pah thay aap tawakkul baquda
Na koi paani pilane ko dum-e aaqir tha
Wohi bekas hae Raza naza mein inna lillah
H ai kya waqt hae mazloom pah Allah Allah
Khaak ka farsh rida gard tawakkul takia
Uf bhi karta nahin qaamosh hae sonay wala
Naza mein dekha Raza ne jo shabeehe Zehra
Bandh aankhen hui aur qatema bil qair hua
E k hichki ka bas aana tha ke dum todh gaye
M ominon ke liye yaad apni Raza chod gaye
Aake Yasrab se Taqi dekhte hain kya naqsha
Bandh ankhen kiye behosh pade hain baba
Sar ko baba ke utha zano pah apne rakha
Roke chillane lage kya yeh hua aye baba
Kab se chillata hae sar peet ke naalane Taqi
A nkhon ko kholo zara aapke qurban Taqi
Baap ka pursa doh bete ko tum ae ahle aza
Jisko Mamoon ne khilwaya hae angoore dagha
Neelgoon hogaya hae jisme mubarak jiska
Jiski mayyat pah nahin koi bhi ronay wala
Bepidar hogaye masoom Taqi wawaila
H aye bejaan hua Kazim ka wasi wawaila