Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar
Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar ki yaad mein
Saamaan-e-gham tha farq-e-paak-e-aiteqaad mein
Tha jashn-e-eid khaana-e- ahley anaad mein
Goya bahaar aayi thi baagh-e-muraad mein
Khush thay kay baarawar shajar-e-muddaa huva
Ek taaza gul Ali kay chaman sey judaa huva
Din raat ahley shar isi tadbeer mein thay aah
Khairul bashar ka naam mitaa dey woh rusiyaah
Par khalq reh na sakti thi bey Hujjat-e-ilaah
Bakhshaa Khuda ney Jaffar-e-Sadiq ko izz-o-jaah
Jo har kushaa-e-taqt karaamat huvey huzoor
Raunaq fizaa-e-taqt Imaamat huvey huzoor
Qurbaan malak thay Jaffar-e-Sadiq ki shaan par
Haafiz fida thay mushaf-e-naatiq ki shaan par
Maula toh jaan detay thay Khaaliq ki shaan par
Maashooq ko bhi naaz tha aashiqh ki shaan par
Qaail zubaan har ek munafiq ki hogayi
Aalam mein dhoom ulfat-e-Sadiq ki hogayi
Raazi qazaa pey tha woh jigar band-e-Murtuza
Karta hai ek shaks yeh wasfey Shahey Huda
Beemaar koyi aapka tha tifl mehlaqaa
Daulat saraa pey uski ayaadat ko main gaya
Hazrat khadey huvey thay jhuka main salaam ko
Paaya magar udaas Imam-e-anaam ko
Andar gaye huzoor main tehraa raha wahin
Dekha yeh wapasi mein kay gham ka asar nahin
Main ney kaha kay shaad rakhey Rab-ul-alameen
Shehzaada khairiyat sey hai aye Baadshahey deen
Farmaaya woh mareez jahaan sey guzar gaya
Ladkay ka haal dekh kay aaya hoon margayaa
Poocha kay pehley ranj tha ab kyun nahin malaal
Boley hum Ahleybait-e-Nabi ka yahi hai haal
Gham ka dum-e-nuzool bhalaa kartey hain khayaal
Naazil woh hogayi toh kiya shukr-e-Zuljalaal
Tasleem kis tarha na Raza kibriya ki ho
Bandey ka dakhl kya jo mashiyat Khuda ki ho
Masoom ki qazaa-e-ilaahi pey thi nazar
Kyun kar na ho Hussain sey saber kay thay jigar
Hai aashkar himmatey Shabbir-e-naamwar
Pardes mein lutaa diya aabaad apna ghar
Raah-e-Khuda mein dil ko sambhaala Imam ney
Aulaad zibhaa hogayi aankhon kay saamney
Baqar kay laqtey dil ko na aya kabhi ghazab
Taabay Khuda kay hukm ka tha Sarwar-e-arab
Karta tha sabr naasir-e-deen-e-habib-e-Rab
Deta tha sadmey aapko mansoor-e-bey adab
Firoun-e-asr phir gaya fakhrey kaleem sey
Keena tha sang saqht ko durr-e-yateem sey
Rehti thi usko shaam-o-saher fikr-e-qatl-e-Shah
Jalta tha aaftab-e-Imaamat sey rusiyaah
Thi arzoo kay khana-e-Hyder ho phir tabaah
Hon bey Imam khaadim-e-Sultan-e-deen panaah
Saadaat mubtelaa-e-balaa-e-azeem ho
Jaffer ho qatl Moosi-e-Kazim yateem ho
Zaalim ko bey gunaah sey manzoor thi daghaa
Makkaar ney Iraq mein aakhir talab kiya
Karta raha iraada-e-qatl-e-Shahey Huda
Aijaz taaza dekh kay kar deyta thaa rehaa
Tegh-e-sitam nikalta tha jab niyam sey
Chal sakta tha na zor dua-e-Imam sey
Sadh haif sang dil ko na kuch iska tha khayaal
Mehmaan maraa hai gulshan-e-Baqar ka naunehaal
Mansoor ka bhi tark-e-wafaa mein wahi tha haal
Jaisey yazeed-o-Ibney ziyaad zaboon khisaal
Kis tarha zaalimon ney sataaya Hussain ko
Loota bulaa kay ghar sey Shahey Mashraqain ko
Haq kay wali ka dushman-e-jaani tha rusiyaa
Sab aafaton sey bachkay watan mein jab aaye Shah
Woh zulm hogaya kay Madina huva tabaa
Angoor mein Imam ko dilwaaya zehar aah
Sarw-e-riyaaz-e-deen ka ajab haal hogaya
Sar sabz baagh-e-deen ka pamaal hogayaa