Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

 Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar


Pohnche jo Hussain Ibne Ali Laashey Pisar par

Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par

Ye keh kay zameen par girey betay kay baraabar

Aaya hai pidar housh mein aao Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Zaalim koyi bekas ko bathaata na tha rasthaa

Chhaaya tha nigaahon mein andhera hi andhera

Aaya hai pidar paas teray tthokarein khaataa

Aankhon ko hua kya meri poochho Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Tum chup ho to chaltay hain meray qalb pa khanjar

Kuch haal ladaayi ka sunaao meray dilbar

Bathlaao kay kis tarha lagaa zakhm jigar par

Kuch baat karo aankh toh kholo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Faryaad labo’n par hai aur ashko’n ki rawaani

Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahaani

Hanstey hain mere haal pa dushman meray jaani

Tanha mujhey is tarha na chhoddo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kyun paaoon ragadtey ho kahaan zakhm lagaa hai

Bathlaao meri jaan mera dil bhaitt rahaa hai

Kyun haath hai seenay pa kahaan zakhm lagaa hai

Phat jaayega dil baap ka bolo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Nauha hai labo’n par hai lahoo aankhon sey jaari

Hum kabsey khadey rothay hain baaleen pa tumhaari

Khaaya na taras tum ney ghareebi pa hamaari

Dil baap ka is tarha na todo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Aye laal tasawwur mein tha Maa kay tera sehra

Hae deyr sey darwaaza-e-khaima pa woh dukhiya

Kya jaakay bataaun maen hua haal tumhaara

Laila sey kahoon kya yeh bathaao Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Ab deyr jo ki tum ney toh karti hui zaari

Bey pardaa bahen aayegi maqtal mein hamaari

Maadar kahin mar jaaye na sadhmey sey tumhaari

Baba bhi nahin jeenay ke sunlo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kis tarha sey dekhe yeh pidar haal tumhaara

Qaabu mein nahin qalb ulat’tha hai kaleijaa

Pehlu mein hai dil baap ka pathar nahin beta

Aagey meray is tarhaa na tadpo Ali Akbar

        Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar