Insaan ke liye maut hai gham
Insaan ke liye maut hai gham bey watani ka
Jaanka hai andoh wo aalam bey watani ka
Sadmaa nahin kuch maut sey kam bey watani ka
Aafath hai qiyaamat hai sitam bey watani ka
Kaantoun ke aalam Syed-e-Sajjaad sey poocho
Ezzaa-e-safar Muslim-e-naashaad sey poocho
Ki saqth daghaa koofiyoun ney ghar mai bulaakay
Sab phir gaye jin logoun ke daavey thay wafa kay
Laakhoun hai adoo jaayein kidhar jaan bachaakay
Aafath mein giraftaar huvey koofey mein aakay
Yaawar nahin humdum nahin ghamqaar nahin hai
Narghey mein hain aur koyee madad gaar nahin hai
Hain sangh dil aisey woh jafakaar-o-sitamgar
Khotoun sey lagaaney lagey mazloom pa pather
Noorani badan hogaya majrooh saraasar
Aur saamne se muh pe lagaa zulm ka khanjar
Kyon gir na pada haye falak phat ke zameen par
Laal labay jaan baqsh girey kat ke zameen par
Muh karke suey charq kahaa shukr khudayaa
Raahat hai yeh bandey ney jo kuch zulm uttaya
Gham yeh hai ke hai door Yadullah ka jayaa
Shabbeer ke haathoun se kafan hum ney na paaya
Duniyaa se suey khuld koyee dum mein safar hai
Yahn hum pe jo kuch bun gayee kya unko khabar hai
Yeh kahtey thay Muslim ke layeenou ney khazaara
Ek sang-e-sitam uss labey majrooh pa maara
Reesh aur gareybaan mai lahoo bhar gaya saara
Jab haal yeh pahooncha toh kaha jung ka yaara
Aada sey kaha dil mei zaraa rahem ko jaadoh
Ghash aatha hai paani mujhe thodaa sa pilaado
Kab sunthey thay beykus ka sokhan zulm ke baarii
Thay qatl ki tadbeer mein woh dushmane jaani
le aayee zaeefaa waheen ek jaam mein paani
Qismath ney magar bhujjney na dee tashna dahaani
Sukhee huvi thi gul si zabaan khushk guloo tha
I s paani ko muh sey jo lagayaa tho lahoo tha
Pheinkhaa isey jab khaak pey ba deeda-e-giriyaan
Ek jaam zaeefa ney diya phir unhein us aahn
Peenay bhi na paaya tha koyee ghoont woh zeeshan
Paani mein juda hokey girey gowharey dandaan
Farmaaya ke saabith huva pyaasey hi marengay
Ab saakhi-e-kausar hamein sairaab kareingay
Dushman toh kayee sow thay yeh bey yaaro madadgaar
Barchi kabhi padthi thi, kabhi padti thi talwaar
Andooh pa andooh thay azaar pe azaar
Kis yaas sey ek ek ka muh takthay thay har baar
Baazu ko sitamgar jo baandhey thay rasan sey
Fuwwaara-e-khoon chut-tha tha har zakhm badan sey
Alqissa lab-e-baam jo laaya unhein saffaak
Tarr aansuoun sey hogaya Muslim ka rukhey paak
Faryaad suey Kaaba yeh ki baa dil-e-gham naak
Roohi ba fidak aye pisar-e-sayede loulaakh
Karta hai safar khalq sey ghamqaar tumhaara
Moukhoof hai ab hashr pa deedaar tumhaara
Farmaakay yeh gardanh taraf-e-qibla jhukaayi
Shamsheer jafaakaar ney chamkaa kay utthaayi
Awaaz yeh maqdooma-e-kounain ki aayi
Marthaa hai haraawal meray bachchey ka duhaayi
Is zulm sey baaz aa jo khuda ka tujhey darr hai
Zaalim sar-e-Muslim pa meray haath sipar hai
Meray liye kam hashr ke din sey yeh nahin din
Turbath sey main niklee hoon liye laasha-e-Mohsin
Mazloom ko tu qatl tho kartha hai woh leikin
Bin baap ke hojaayengay bachchey kayee kamsin
Khoon sar pay na ley chod dey awaara watan ko
Kar raand na Abbas-e-dilaawar ki bahen ko
Zehra ney kayee baar tadap kar yeh pukaara
Kya dil tha ke muthlaq na dara woh sitamaara
Zaalim ney kayee zarb may sar tanh sey uthaara
Phat-tha hai jigar ab nahin goyaee ka yaara
Likha hai chalaa leikay jo qaatil sar-e-Muslim
Kotthey kay taleh pheinkh diya paikar-e-Muslim