Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey

Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main

Tanhaa rahey Shaahey Shohadaa dashtey balaa main

Taaqath na rahi jism-e-Imam-e-dosaraa main

Koyi na raha Sheh kay azeezo rufaqaa main

S arkaar ki rounaq thi na darbaar tha baaqi

L uttney ko harum marney ko Sardaar tha baaqi

Farmaatay thay haathoun pa liye laasha-e-Asghar

Maqbool ho aye baar-e-Khuda hadyaa-e-ehqar

Kis mooh sey tera shukr karoon aye meray daavar

Tuneh meray Asghar ko diya ruthbaa-e-Akbar

Jaan apni meray shiyoun kay bachchoun pa fida ki

S hashmaahey pa bilkul hai yeh taaeedh Khuda ki

Gham ka mujhey gham hai na khushi mujhko khushi ki

Tu sar pa hai parwaah nahin bandhay ko kisi ki

Haan ek yeh haajath hai Hussain ibney Ali ki

Sar nangay na dekhoon main nawaasi ko nabi ki

Bey pardaah woh jab ho kay main paiwandh-ezameen

hoon

A ur yoon teri marzi hai toh baahar bhi nahin hoon

Lashkar diya kunbaa diya ghar bhi diya tunay

Sardaar bhi tunay kiya sar bhi diya tunay

Humshakl-e-Payamber sa pisar bhi diya tunay

Yeh houslaa yeh dil yeh jigar bhi diya tunay

Kya faqr jo pyaaroun ko rahey haq main diya hai

Teri hi inaayath ko fidaa tujh pa kiya hai

Mujh main thi yeh qudrath kay bharey ghar ko lutaatha

Waan qatl ho Akbar idhar Asghar ko main laatha

Taddpay yeh meray haathoun pa main labb na hilaatha

Baazu ho judaah haath na ummath pa utthaatha

Yoon khush koyi hungaam-e-tabaahi nahin hotha

Bandhay sey yeh bey fazley ilaahi nahin hotha

Ummath ney bhulaaya hai mujhey tu na bhulaana

Tu paak hai duniya sey mujhey paak utthaana

Sab chodd kay tanhaa huvey jannath ko ravaana

Aye baar-e-Khuda qabr ki wehshath sey bachaana

Jab gor-e-ghareebaan ka andheira nazar aaye

H ar samth ko jalwaa mujhey tera nazar aaye

Naagah nida pardaa-e-Qudrath sey yeh aayi

Shaabaash kay tasleem-o-riza khoob dikhaayi

Bandhay tujhey humney kiya Muqtaar-e-Khudaayi

Khaasaan-e-Khuda kartay hain yoon waada wafaayi

Pyaarey bhi musaaheb bhi fidaa kardiye tunay

I qraar tha ek sar ka bahaathar diye tunay

Bas bas kay Khuda ab tera sharmaatha hai Shabbir

Kyon meray huzoor aaney main ghabraatha hai Shabbir

Taalib hoon main jis hadyeh ka tu laatha hai Shabbir

Bandhoun ka hamein ijzz pasandh aatha hai Shabbir

Tu izr ka tohfaa meri dargaah ko samjhaa

M ain ruthbaa tera samjhaa tu Allah ko samjhaa

Hazrath ney suneh hukm-e-ilaahi jo yeh saarey

Bey saaqtha murddkar su-aiy kuffaar pukaarey

Qaatil hai kahaan aaye meray sar ko uthaarey

Deodi sey bahen boli main qurbaan tumhaarey

S aidaniyaan dukh main kisey chillaegi bhaayi

Bin maa ki yeh behnay teri lutt jaayengi bhaayi

Waan zaalimoun ney mourchay ek daf-faa baddhaaye

Baadal ki tarhaa Fatema kay chaand pa chaaye

Yoon teer-e-jafaa maarey kay seenay main dar aaye

Naizey jo lagaaye toh kaleijey main lagaaye

Zakhmoun sey toh khoon-e-badan-e-Shah tha jaari

A ur mooh sey tawakkalto Alallah tha jaari

Barchee kabhi pehloo pa chali aur kabhi shamsheer

Patthar kabhi maathay pa lagaa aur kabhi teer

Sambhlaa na gaya hogaye ghash Hazrath-e-Shabbir

Aur seena-e-zakhmi pa chaddha zaalim-e-beypeer

S ar peet kay mindheel farishtoun ney giraa di

Zaalim ney chhuree halq pa Syed kay phiraadi