Zindaan mein muqayyad huve
Zindaan mein muqayyad huve jis dum harame shah
Ambohe qalaeq huva darwaze pah nagaah
Balwa hua is darja ke masdood huvi raah
Sar sharm se zanjeer pah Abed ne rakha aah
Tha woh arqe sharm aseeroun ke na tunh mein
R otah tha har ek azoo ghame shahe zaman mein
Mashghool jo thay khel mein atfaal woh saare
Karti thi Sakina wahan hasrat se nazaare
Kehti thi ke kya hogaye hamjoli hamare
Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhaare
S ab bachhe yahan khelte hain qandah zana hain
M ain khelti thi jin se woh atfaal kahan hain
Naagah namudaar hui shame ghareeban
Aaya ghazab aalood wahan shumr badh imaan
Ek ek se muqaatib huva woh dushmane yazdaan
Ab jao ke hotah hae muqaffil dare zindaan
H oegi rihaai na kabhi aale aba ki
Kal dekhiyo phir sair aseerane bala ki
Yeh sun ke pareshan hua amboh woh saara
Ghum hogaya ek shaqs ka farzand qazaara
Chillaya pidar us ka raha dil pah na yaara
Farzand bhi baba usey keh keh ke pukara
Woh tifl lipatne jo laga aake pidar se
Paidah huvi ek aah Sakina ke jigar se
Bhar bhar ke dame sard yeh ki Bano se guftaar
Iss bachhe ko dekho ke kya qush hae yeh dildaar
Kya naame pidar pyaar se letah hae har baar
Ek hum hain ke hain baap ki furqat mein giraftaar
Dil mein joh mere dard hae qaaliq pah ayaan hae
M ain kisko kahoon baap mera baap kahan hae
Baba mere hotey toh unhe kehti main baba
Ab baap kahan jisko kahoon baap main dukhiya
Yoon koi pidar beti se ghaafil nahin hota
Hairaan hoon baba ke woh ashfaq hue kya
A ada ne hamein qaid kiya shaam mein laakar
Baba mere kyon mujhko nahin dhoondhte aakar
Yeh kehke Sakina pah jo riqqat hui taari
Bas haye pidar keh ke kayi baar pukaari
Tadpi jo zameen par toh zameen hil gayi saari
Jhunjhla ke kaha shumr ne phir karti ho zaari
A b qoob rulaonga tujhe main na daroonga
R ah tujhko aseeron se juda qaid karoonga
Phir shumr ne baazue Sakina ko jo pakda
Kunbe ki taraf us ne ajab yaas se dekha
Sab qaidiyon mein ek qayamat hui barpa
Sajjad ke qadmon par machal kar giri dukhiya
Yoon lipti thi bhai se woh is qowfo qatar se
E k haath toh gardan mein tha ek haath kamar may
Moonh dekh ke Sajjad ka kehti thi woh darkar
Ab aap mere ronay ke zaamin ho biradar
Gar tumse chuti zeest meri hoegi kyonkar
Ab ro-oon toh jo chahe kare shumre sitamgar
Bhaiyya mujhe toh shumr se is waqt bachale
A b ro-oon toh kardeejiyo zaalim ke hawaale
Ab ro-ee so mein ro-ee na phir ro-ongi zinhaar
Ab ro-oon agar baap ko apne toh gunehgaar
Farmao ke ab chod dey mujhko yeh jafakaar
Bazoo mera dukhne laga ae Abede beemaar
Kis tarha juda kunbe se hoegi Sakina
Tum kehdo qasam khake na roegi Sakina
Yeh kehti thi kheencha jo sitamgar ne qazara
Kurta toh phata tha woh phata aur bhi sara
Tab Abede beemar ne rokar yeh pukara
Ae shumr yeh bin baap ki bachhi hae qudara
Ghaafil teri dehshat se na hoegi Sakina
A b aisa dari hae ke na roegi Sakina