Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey
Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey Raza rahaa
Sajjadaa-e-Rasool pey shagley dua rahaa
Har ranj mein zabaan pa shukr-e-Khuda rahaa
Ginti kay dostdaar thay dushman hazaarhaa
Badh khwaah kitney is Qamr-e-Murtuza kay thay
Tha ek chiraagh sainkdo jhonkay hawa kay thay
Kya haal ho Raza kay jigar bandh ka bayaan
Pyara tha Murtuza ka woh sultan-e-insojaan
Mojiz numa Imam-e-Zamaan Hadi-e-jahaan
Aisey wali kay dar pey iza thay badhgumaan
Souz-e-alam sey dil mein thay chaaley padey huey
Thay rashkay gul ko jaan kay laaley padey huvey
Laanat Khuda ki motesim nabekaar par
Bheja payaam chodiye ghar aayiye udhar
Dar pesh aah phir huva Baghdad ka safar
Par is safar ney manzil-e-akhir ki di khabar
Mazloom ka yeh kooch watan sey akheer tha
Mushtaq kung khabr ka woh gosha gheer tha
Humrahaa Ume Fazl bhi thi mourid-e-azaab
Yasrab sey jaaney ki thi khushi is ko beyhisaab
Iska chacha tha motesim-e-khanumaan kharaab
Baghdad mein pahunchgaye Shah-e-Falak janab
Tauqeer zaheri toh bohat bey wafaa ney ki
Par fikr qatl-e-Shah is ahl-e-jafa ney ki
Baghdad mein muqeem rahey saal bhar huzoor
Naari yeh chahta tha kay gul ho chiraag-e-noor
Waaqif tha umme fazl ki haalat sey pur futoor
Rakhti thi bugz rehbar-e-Aalam sey bey shaoor
Zalim kay mashwarey sey woh khirsand hogayi
Kehney pey motesim kay raza mand hogayi
Yeh bey murawati yeh sitam yeh ghazab yeh qaher
Woh bekasi Imam ki woh door apna shaher
Dekhey toh Ahl-e-dil khalash khaar bagh-e-dahar
Angoor raazaqi mein diya faakha kash ko zaher
Li karwatein Ali-o-wali ko pukaar kay
Aazaa-e-paak sooj gaye dil figaar kay
Roney lagi woh dekh kay Hazrat ka haal-e-zaar
Farmaya aap ney kay abas hai toh ashkbaar
Is aarzey sey dega sazaa tujhko kirdegaar
Jis ka koyi elaaj nahin aye jafaa shiyaar
Deyti jawaab kya sar-e-maloona jhuk gaya
Dum Shaahey deen ka zaher kay sadmoun sey
rukgaya
Takleef payi chand shab-o-roz jaan ghasal
Taseer-e-sam sey aag thi seenay mein mushtiaal
Woh karb-o-jigar ki haraarat woh dard-e-dil
Hothaa gaya Rasool ka dildaar muzmahil
Haakim ney ki madad na tawajjoh tabeeb ney
Akhir safar kiya suey jannat ghareeb ney
Kumla kay reh gaya gul-e-tar Buturaab ka
Murjhayaa naunehaal Risaalat maab ka
Dekha jawaana marg ney rang inqilaab ka
Woh maut beykasi ki woh mausam shabaab ka
Kyun peer charkh jaaye ta saf hai ya nahin
Kamsin Imamon mein koyi aisa huva nahin
Anjaam is tarha bhi kitaabon mein hai raqam
Shiyoun ney aap kay jo suna yeh naya sitham
Rotay huvey gaye sar-e-tasleem kar kay kham
Mayyat ko baher-e-ghusl utthaya bachashmey nam
Seenon ko apney khastaa jigar peetney lagey
Ammamey phenk phenk kay sar peetney lagey
Nehlaya is musafer-e-darussalam ko
Bhar aaye dil kafan jo pinhaaya Imam ko
Taboot mein litaa kay Shahey khaas-o-aam ko
Pursa diya Ali ko Rasool-e-anaam ko
Naaley tawaaf kartey thay arsh-e-majeed ka
Matam kiya uttha kay janaza shaheed ka
Jis ja thi qabr Moosiye Kazim falak wikhaar
Pehlu mein is lahad kay khuda doosra mazaar
Poshida zair-e-khaaq huva noor-e-kirdegaar
Hasrat pukaar ti thi kay is shaan kay nisaar
Takheer dafn sey bhi sharaf ashkaar hai
Yeh waris-e-Hussain ghareeb-ud-dayaar hai