Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba
Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba
Karbala Jaakay mujhey bhool gaye kya baba
Harf harf iskaa badi ghaur sey paddnaa baba
Kaanmptay haathoun sey likkhi hoon yeh naama baba
Door uftaada mareezaa ney likhaa hai tasleem
Aap sab ko meri jaanib sey yeh kehnaa baba
Haaye kis kis ki shikaayath karoon Allah Allah
Ek khath bhi kisi ney nahin likkha baba
Kya likkhoon haal ajab haal hai taph sey meraa
Aisey jeenay sey hai behthar mera marnaa baba
Zouf ithnaa hai kay chalti hoon toh gir paddti hoon
Sar mein chakkar hai meray haath mein raasha baba
Dekh kar haal mera rothi hai ghurbath meri
Hichki jab aathi hai chillaati hoon baba baba
Bhaayi Akbar ko bhijaaney ka kiya tha waada
Jald bhijwaao Khuda kay liye baba baba
Bhaayi Qasim ki meray hogayi hogi shaadi
Meri jaanib sey mubaarak unhein kehnaa baba
Pyaar karna meri jaanib sey Ali Asghar ko
Yaad aatha hai woh chotaa mera bhaiyyah baba
Rokay aakhir mein mareeza ney yeh likkha Hilmi
Jald pardes sey aajaao Khudaara baba