Jab ridaa sar sey chinee,
Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi,
Tu na aaya Ghaazi
Aaley Imran kahaan, Aur zindaan kahan,
Yeh bahen qaid huvi, Tu na aayaa ghaazi
Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi,
Tu na aayaa Ghaazi
Humko paani na miley, Teri khushboo toh rahey
Teray baazu na katey, Chaahey mashkeeza cheeday
Yeh magar ho na sakaa, Teray baazu hain judaa
Mujh pey hai tashna labi, Tu na aayaa Ghaazi
Dhoop mein tu tha shajar, Tujhsey aabaad tha ghar
Hai barehna mera sar, Kya nahin tujh ko khabar
Aye Alamdar-e-Wafaa, Is behan ko ba-Khuda
Tujh sey dhaaras thi badi, Tu na aayaa Ghaazi
Aagayi shaam-e-alam, Luttgaye Ahley Haram
Raith par jalti huvi, Hogaya thanda Alam
Pursa deinay kay liye, Mujhsey milnay kay liye
Aagaye Baba Ali, Tu na aayaa Ghaazi
Kya kahoon Sher meray, Beyrida humko liye
Yeh musalmaan saarey, Shahr dar shahr gaye
Khilqat-e-Kufa kabhi, Khilqat-e-Shaam kabhi
Aur haan hum pey hasee, Tu na aayaa Ghaazi
Kitni beybas thi bahen, Aey ShahenshaheyWafaa
Naam ley ley kay mera, Jab yeh zaalim ney kaha
Naaz tha jis pey tujhey, Ab bulaao na usay
Aur maen rothi rahi, Tu na aayaa Ghaazi
Qaid khaaney mein qazaa, Jab Sakina ko milee
Dey kay kurtay ka kafan, Bachchi dafnaayi gayi
Us ghadi naam tera, Surat-e-Naad e Ali
Bus maen dohraati rahi, Tu na aayaa Ghaazi
Roya Rehan qalam, Kar kay yeh baat raqam
Khoon mein doob gaya, Meray Ghaazi ka Alam
Zakhmi Zainab ka jigar, Khoon fishaan Shaah ka sar
Aaye khaimon mein shaqi, Tu na aayaa Ghaazi