Dashtey balaa mein gumh Ali
Dashtey balaa mein gumh Ali Akbar ki laash hai
Farzand-e-Faatima ko pisar ki talaash hai
Daagh-e-jigar ko naakhoon-e-gham ki kharaash hai
Sangh-e-alam sey sheesha-e-dil paash paash hai
Banu ko ghash hai Ahle-haram dard mandh hain
Hai hai pisar ki ghar mein sadaayein buland hain
Chillaathay hain kay baap kay pyaarey kidhar gaye
Aey noor-e-chashm aankhon kay taarey kidhar gaye
Aey meri zindagi kay sahaarey kidhar gaye
Pahooncha kay mujhko gour kinaarey kidhar gaye
Andher hai agar na tumhein paayega pidar
Aawaaz dogay tum toh chalaa aayega pidar
Rootthey ho kis liye Ali Akbar jawaab do
Sadqey ho baap aey meray dilbar jawaab do
Aey meray hum Shabihey Payambar jawaab do
Tum sey bichadd kay zeesth ho kyunkar jawaab do
Jo raah hai tumhaari wohi apni raah hai
Laazim hai rahem baap ki haalat tabaah hai
Kis jaah pey tum paddey ho bathaao pidar nisaar
Aawaaz hum ko apni sunaao pidar nisaar
Hum gir paddey hain aa kay utthaao pidar nisaar
Chhaati sey phir pidar ko lagaao pidar nisaar
Ruksath hai apney ghar ko zaraa dekh bhaal lo
Lagzish hai haath paoon mein Akbar sambhaal lo
Kis sey mein puchoon kaun tumhaara pathaa bathaaye
Yeh beykas-o-ghareeb musaafir kidhar ko jaaye
Qismath mein meri tthokrein likkhi hai haaye haaye
Is zindagi sey kaash Khuda humko bhi utthaaye
Andher hai kay goud kay paaloun sey chutt gaye
Manzil pa aakay qafilay waaloun sey chutt gaye
Ab haath bhi pakadd kay utthaatha nahin koyi
Roney pa meray rahem bhi khaata nahin koyi
Yousuf ki meri shakl dikhaata nahin koyi
Beta tumhaari laash bathaatha nahin koyi
Haalat hamaari kaahey ko dekhi hai aap ney
Tum ko khayaal hogaa khabar li na baap ney
Aey fouj-e-zulm Baano kay dilbar ko kya kiya
Beykas ko tashnakaam ko beypar ko kya kiya
Aey zaalimo Shabihey Payambar ko kya kiya
Miltaa nahin meray Ali Akbar ko kya kiya
Lillaah do pataah kay bhattaktey hain raah mein
Shaayad giraa diya meray Yousf ko chaah mein
Chillati hai kay goudh ka paala kahaan gaya
Aankhon ka noor ghar ka ujaalaa kahaan gaya
Chashm-o-chiraagh-e-Syed-e-waalaa kahaan gaya
Meraa woh lambey geysuoun waalaa kahan gaya
Do betay kho kay paayaa tha is naunehaal ko
Barchi sey kisney qatl kiya meray laal ko