Imaan ki jaan kya hae mohabbath
Imaan ki jaan kya hae mohabbath Ali ki hae
Rahat jo qabr ki hae woh ulfath Ali ki hae
Sa-il bakaf hain sab woh saqawath Ali ki hae
Qatil ko di aman woh murawath Ali ki hae
A adil ho peshwa ho madarul maham ho
Gar ho nabi ke baad toh aisa imam ho
Sadqe ghulam teri museebat ke ya Ali
Ae janasheen janabe risalat ke ya Ali
Qurban lahoo bhari teri soorath ke ya Ali
Ayyam hae yeh teri shahadath ke ya Ali
Yeh zulm be jahat yeh sitam be sabab hua
Talwar tere sar peh lagi kya ghazab hua
Unnesween se aapka matam hae ya Ali
Qoon ho gaye diloun ka yeh aalam hae ya Ali
Daftar jahan ka darham-o-barham hae ya Ali
Mahe siyaam mahe muharram hae ya Ali
M oula ki nazr ko gohare ashk laye hain
Yeh rozedaar aapke pursey ko aaye hain
Moula shigaaftha huva sajde mein sar tera
Syed tabaah ho gaya Koofe mein ghar tera
Sarwar alam diloun ko hae sham-o-sehar tera
Aaqa inhi dinoun mein huva tha safar tera
A alam se beqabar they quzoo-o-qushoo mein
Talwar jab lagi thi jhuke they rukoo mein
Ghar mein Khuda ke qatl hua rozedar haye
Hae hae imam haye shahe zulfiqaar haye
Ae qana zadeh haq shahe ta-ath guzaar haye
Mouladh haram mein hae toh Najaf mein mazaar haye
Yeh bandagi nisare janabe Ameer ke
N ikle toh ghar se marke Khuda-e-Qadeer ke
Laya tha zeher mein woh jafa joh bujha ke tegh
Moula gire zameen peh sajde mein khake tegh
Gul padh gaya ke sar peh lagi Murtuza ke tegh
Khayi Khuda ke sher ne ghar mein Khuda ke tegh
Gehra hae zakhm farqe imame hijaaz par
S ar se tapak raha hae lahoo janamaaz par
Shere Khuda jo haathon se thamay thay apna sar
Khoon dono kohniyon se tapakta tha qaak par
Bhaaga jo ibne muljim-e maloon-o-badsiyar
Pakda useh Ali ke muhebbon ne daudh kar
L aaye joh haath baandh ke Moula ke saamne
Qatil pah muskura ke nazar ki imam ne
Farmaya maine kounsi ki thi teri qata
Paadaash nekiyon ki yehi hae jahaan mein kya
Kya mein bura imam tha ae baniye jafa
Roya jo sar jhuka ke toh moula ne yeh kaha
I s dard mein bhi sabke marz ki dawa hain hum
Bandho na iske haath ke mushkil kusha hain hum
Dono shabein Ali ko tadapte hui basar
Lethay thay is taraf kabhi karwat kabhi udhar
Rokar dabaate paon jo Shabbir-e naamwar
Rah jaathay they imam-e doh aalam hila ke sar
R oodaadh thi nazar mein mujassim Hussain ki
A waaz sun ke rotay thay Zainab ke bain ki
Jab beesween ka din bhi tadap kar huva tamam
Ummul baneen se chownk ke kehne lage imam
Doh din se aah sab mere bachhe hain be ta-aam
Faqe mein in peh guzregi kya aaj ki bhi shaam
A chha hoon ab toh mein yeh abas beqaraar hain
Khana inhe khilao ke sab rozedaar hain
Bole Hussain baap se haathoun ko jodh kar
Sab khaen phir jo aap tanavul kare agar
Farmaya rizq uth gaya majboor hae pidar
Pani bhi ab gale se utartha nahin pisar
Dawat Ali ki aaj hae ghar mein Ilaah ke
R oza khulega saath risaalath panah ke
Chup hogaye yeh kehkar shahenshahe kaenaath
Samjhe yeh sab ke ghash mein hain Shahe niko-sifaat
Jis waqt baaqi rah gayi kuch kam ghadi woh raat
Tegh-e ajal ne qatta kiya rishta-e hayaath
Tadka tha noor ka ke safar kar gaye Ali
S ab shia bay imam hue mar gaye Ali