Darouna jungle, hae raat andheri
Darouna jungle, hae raat andheri, sitaare kuch jhilmila
rahe hain
Pardey hain rethi pah chand laashe joh apna gham aap kha rahe
hain
Hae aisa bigda huva zamana na gore hae aur na shamiyana
Falak pah abre siyaah ke lakke udaasi bun bun ke cha rahe hain
Na koyi zaqmoun ka dhone wala na koi murdoun pah ronay wala
Parind kuch kar rahe hain naalay darindh kuch qaak uda rahe hain
Shikista hathyar kuch padey hain yeh loug shayad yahan lade hain
Laday toh woh honge joh badey hain nazar toh bachhe bhi aarahe hain
Yeh run joh is waqt bolta hae unhee shaheedon ki yeh sada hae
Musafir aatey hain joh idhar se woh raah katrah ke ja rahe hain
Haram pah kya guzri baad inke nahin zaroorat ke koi bole
Jale huve joh pade hain qaime khud unka lutna batah rahe hain
Shifa-ate hashr karne wale kahen woh joh kar guzar ne wale
Ghayoor hain yeh woh marne wale joh hum ko ab tak rula rahe hain