Run mein jab Sheh ki taraf sey

Run mein jab Sheh ki taraf sey Hur-e-deen daar aaya

Kis bashashath sey uddaataa huva rehwaar aaya

Ghul huva Sayyed-e-Mazloom ka ghamkhwaar aaya

Jaanisaar-e-khalafey Haidar-e-Karrar aaya

Tathqhey noor sarey raah nazar aata hai

Jalwaa-e-Qudrath-e-Allah nazar aata hai

Yeh sukhan sunkay pukaara pisar-e-Saad-e-shareer

Haan tarafdaarey Shaheydeen pey chaley naiza-o-teer

Lekay harboun ko baddhaa fouj ka amboh-e-kaseer

Fateha paddkay jawaan mard ney kheinchi shamsheer

Hur ka muh surkh huva fouj-e-sitam zard huvi

Shola-e-teigh sey bijlee ki chamak gard huvi

Badd kay farmaatey tha Abbas zahey izzat-o-jaah

Baarek Allah ki deitha tha sadaa dilbar-e-Shaah

Kehtey thay Ibn-e-Hassan waah Hur-e-Ghaazi waah

Shah har zarb pey farmaatey thay Mashallah

Apni jaanbaazi ka ghaazi jo silaa paata tha

Muskuraataa huva tasleem ko jhuk jaata tha

Haif jhukney mein layeenon ney jo fursath paayi

Saamna chodd kay sab fouj aqab sey aayi

Laakh khoon reiz idhar aur udhar tanhaayi

Baag ghodey ki phiraata tha kay barchi khaayi

Aagaya mout kay panjey mein na kuch deyr lagi

Farqh per gurz lagaa dosh pey shamsheer lagi

Seena ghurbaal huva teer chaley aada kay

Rakh diya Sher ney kharbooz pey sar nyodaakey

Ali Akber ney yeh Hazrat sey kaha chillaakay

Gar ho irshaad toh mehmaan ko bachaaoon jaakay

Khaadim-e-Hazrat-e-Zehra-o-Ali girtaa hai

Khaak par ab woh Sayeed-e-azali girtaa hai

Shah roney lagey yeh suntey hi mehmaan ki khabar

Hogayi aansuon sey reesh-e-mubarak sab tarr

Ali Akbar sey kaha tum abhi tehro dilbar

Hur ki imdaad ko hum jaayeingey aye noor-e-nazar

Kis sey is waqt kahoon mein jo khalaq mujh per hai

L aash utthaaunga kay mehmaan ka haq mujh per hai

Yeh suqhan kehkay chaley run ko janaab-e-Shabbir

Waanh giraa khaak pa ghodey sey Hur-e-ba’touqeer

Dekh kar Shaah ko aatey huvey bhaagey bey peer

Pahunchey laashey pa Imam-e-dojahaan waqt-e-akheer

Chaman-e-hasthi mehmaan ko ujaddtey dekha

Khaak per aiddiyaan zakhmi ko ragaddtey dekha

Gir kay laashey kay baraabar yeh pukarey Sarwar

Meray mehmaan-o-madadgaar-o-moyeen-o-yawar

Gurz kya tujhko lagaa toott gayi meri kamar

Gir padey ghodey sey aur aah na ki hum ko khabar

Dost kay hujr mein kab dost ko chain aaya hai

Kholdey chashm ko bhaayi kay Husain aaya hai

Neem waah chashm sey Hur ney ruqh-e-Moula dekha

Zeiray sar zaanu-e-Shabbir ka takiyaa dekha

Muskuraakar taraf-e-aalam-e-baala dekha

Sheh ney farmaaya kay aye Hur-e-jaree kya dekha

Arz ki husn-e-ruqh-e-hoor nazar aata hai

Farsh sey arsh talak noor nazar aata hai

Mujhko leinay chaley aatey hain farishtey ya Shaah

Malak-ul-mout bhi kartaa hai mohabbat ki nigaah

Khuld sey Sher-e-Khuda nikley hain Allah Allah

Lo baraamadh huvey Shabbar bhi pidar kay humraah

Nangey sar Ahmad-e-Mukhtaar ki pyaari aayi

Dekhiyeh aapkay Naana ki sawaari aayi

Kehkay yeh godh mein Shabbir kay li angddaayi

Aaya maathey pa araqh chehrey pey zardi chhaayi

Sheh ney farmaaya humein chodd chaley kyun bhaayi

Chal basey Hur-e-jaree phir na kuch aawaaz aayi

Taair-e-rooh ney parwaaz ki tubaa ki taraf

Putliyaan rehgayeen phir kar Shahey waala ki taraf

Rokay Akbar ney kaha Hur-e-dilawar hai hai

Aye madadgaare jigar bandey Payambar hai hai

Khoon mein sab tar hai tera roohey munawar hai hai

Tashna-o-bekas-o-mazloom kay yaawar hai hai

Idhar aana tha kay teri ajal aayi bhaayi

Ghar mein sadaat kay dawat bhi na khaayi bhaayi