Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab
Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab
Sadhmey dil par uttaayi hai Zainab
Qabr sheh ki banaayi hai Zainab
Kuch yateemoun ko laayi hai Zainab
Kehti hai rokay lo khabar bhaayi
Khatm ab hogaya safar bhaayi
Mein hoon Zainab falak sathaayi hoon
Turnsey milney yahaan main aayi hoon
Aur lutey qaafilay ko laayi hoon
Bhaayi kya kya sitham utthaayi hoon
S haam takh nangay sar gayi Zainab
Kyon na pehlay hi margayi Zainab
Utt kay dekho tho ek nazar bhaayi
Tukhdey sadhmoun sey hai jigar bhaayi
Hogaya hai safaydh sar bhaayi
Jhuk gayi hai meri kamar bhaayi
Waada poora main karkay aayi hoon
Pushth par taaziyaaney khaayi hoon
Saarey kunbey ko saath laayi thi
Mehnathoun sey yeh ghar basaayi thi
Mainey daulath yeh maa sey paayi thi
Ho gayi dafn jo kamaayi thi
A b ho kyon kar meri basar bhaayi
H aaye kis muh sey jaaoon ghar bhaayi
Ab na utt ke yahaan sey jaaoongi
Qabr baaloun sey apney jhaadoongi
Phool har subhaa main chaddhaoongi
Shammaa raathoun ko main jalaaoongi
Yoon hi hojaayegi basar bhaayi
Kya karey jeekay nauhagar bhaayi
Gar koyi poochey kiski jaayi hai
Qabr kiski yeh tu banaayi hai
Mujhko qismath kahoongi laayi hai
Main bahen hoon yeh mera bhaayi hai
Thay Nabi ke yeh maan-ney waaley
A ur musalmaan thay maarney waaley
Kya bathaoon shaheed ki haalath
Tanh tha zakhmi thi dhoop ki shiddath
Aur namazi pa pyaas ki shiddath
Sar utthaaney ki bhi na di mohlath
Dafn is jaa hai naamoor bhaayi
Deidiyaa raahey haq may sar bhaayi
Thi muqaddar may meray ruswaayi
Kyon na darbaar hi may maut aayi
Pesh-e-haakim gayi yeh dukh paayi
Ghussa aaya tha peegayi bhaayi
Jo huvey zulm sehgayi Zainab
S abke ronay ko rehgayi Zainab