Jab izn paani laaney ka Abbas
Jab izn paani laaney ka Abbas ko mila
Bachchoun ko jamaa karkay Sakina ney yeh kaha
Jaathay hain ab furaath pa dekho meray chacha
Kuch deyr aur sabr karo tumpa main fida
Paani ki main sabeel yahaan par lagaaoongi
Asghar ko sabsey pehlay main paani pilaaoongi
Pyaasa hai teen roz sey Maasoom beyqathaa
Paani ka ek qathraa bhi usko nahin mila
Karbobala ki dhoop hai aur garm hai hawaa
Sookha huva hai pyaas sey beysheer ka gala
Labb tarr karoongi unkay toh woh muskuraaengay
Pehlaaye dono haathoun ko goadhi mai aayengay
Yeh zikr is taraf tha udhar fouj-e-naabakaar
Baadal ki tarhaa chaaney lagi phir sey ek baar
Ahley jafaa sey bhargaya maidaan-e-kaarzaar
Chillaa rahey thay saarey jafaa jo sitam shiyaar
Paani pahoonch sakay na Imam-e-Hussain takh
Mashkeeza jaa sakay na khiyaam-e-Hussain takh
Naagaha ek waar kameengaah sey huvaa
Shaana jaree ka hokay judaa jism sey giraa
Kuch door aur aagay baday thay kay aah aah
Teigh-e-sitam sey doosraa shaana bhi kat gaya
Daanthoun sey mashk thaam kay Abbas rehgaye
Darya lahoo kay jism-e-mubaarak sey behgaye
Aisey main ek teer lagaa aakay mashk par
Mashk-e-Sakina chidd gayee tharraa gaya jigar
Paani kay saath behgaye ummeed kay gowhar
Jhuk kar alam ney ghodey ki baagoun mai dee qatar
Saqqa-e-Ahlebaith kay shaaney qalam huvey
Bin Bhaayi kay jahaan main Shaahey umam huvey
Akbar ki samth dekh kay bolay Shahey Huda
Tooti kamar Hussain ki aye meray dilrubaa
Beta hamaara qoowath-e-baazu huva judaa
lo hogaya hisaar-e-hifaazath shigaaftha
Dil mai hamaarey naiza-e-ranjo malaal hai
Bhaayi kay gham mai Bhaayi ka jeena mohaal hai
Yeh kehkay humlaawar huvey foujoun pa Shaaheydeen
Humshakl-e-Mustafa ney ulattdi jo aastheen
Tharraa gayee furaat larazney lagi zameen
Jaanein bachaa kay bhaag gaye run sey sab layeen
Pahoonchey Hussain teizee sey Bhaayi ki laash par
Hasrath baras rahi thi tanh-e-paash paash par
Bhaayi kay sar ko Shah ney zaanu pa rakh liya
Thay paayenthi khaday huvey humshakl-e-Mustafa
Phir rokay apney bhaayi sey bolay Shahey Huda
Dekho Hussain aaya hai aye jaan-e-Murtuza
Ab aa chukaa hai waqt-e-judaayi pukaar lo
Jaaney sey pehlay Bhaayi ko Bhaayi pukaar lo
Aankhoun ko apni kholkay bolaa woh tashnakaam
Sharmindhaa hai Sakina sey Abbas ya Imam
Laasha utthaaney ka na karein aap ehteymaam
Ab hashr takh rahega hamaara yaheen muqaam
Lillah baqsh dijiyeh shifa-ath kay naam sey
Koyi kamee huvi ho agar is ghulaam sey
Phir Sheh ki samth dekh kay Abbas ney kaha
Yeh sab karam hai aapka ya Shaahey Karbala
Riqqath ka josh badd gaya ghuttney laga galaa
Bhaayi kay ek lafz mai tha poora marsia
Bhaayi kaha toh rooh badhan sey nikal gayee
Zaanu pa sheh kay gardhan-e-Abbas dhal gayee
Bolay Hussain rokay Alamdaar alvedaa
Aye beykasoun kay mounis-o-ghamkhaar alvedaa
Ahley harum kay qaafela salaar alvedaa
Jaao sidhaaro meray wafadaar alvedaa
Shaaney kataa kay Bhaayi ko bey aas kargaye
Bey dasth humko Hazrath-e-Abbas kargaye