Jab Ibne Bu Turaab baroove
Jab Ibne Bu Turaab baroove zameen gira
Be dast hoke khaak pah woh mehjabeen gira
Aur haath ek taraf alame sheh kahin gira
Chillai Fatema ke mera nazneen gira
Kat-tah hae koi dum mein sar us naujawan ka
Mit-tah hai ab nishan Ali ke nishan ka
Sunte he is sada ke shahenshahe bahrobar
Dowde gire uthe na sambhala gaya jigar
Kaampe jo paon thaam liya bazooe pisar
Chillathe thay kaho Ali Akbar chale kidhar
Majma hatao fowje sitam ka taraai se
Beta milado jald mujhe mere bhai se
Akbar ujad gaya mera ghar wa museebata
Seedhi na hogi ab yeh kamar wa museebata
Hae aaj taza daage pidar wa museebata
Kaata gaya churi se jigar wa museebata
Pursa toh doon najaf ki taraf moonh ko modh doh
Sar peet tha chaloonga mere haath chod doh
Akbar qareebe laash joh laaye Hussain ko
Abbas jaan balab nazar aaye Hussain ko
Tadpa woh sher sunke sadae Hussain ko
Akbar ne haath utha ke dikhaye Hussain ko
Doh kohe gham ke dil pah joh ek baar gir pade
Pehloo mein laash ke shahe Abraar gir pade
Ek baar ghash se chownk ke Abbase zee viqar
Aur jaan kani mein ankhon ko khola bahaale zaar
Poocha kidhar ho ae mere Aaqae namdaar
Hazrat lipat ke bhai se bole ke main nisaar
Sadmey hain jaan kani ke qozoon is judaai ke
Bhai ka daag pooche koi dil se bhai ke
Bhai tumhari baali Sakina jigar figaar
Bachhon se keh rahi hae yeh ba chashme ashkbaar
Ek lehzaa aur sabr karo tum pah main nisaar
Dekhoon ke jaan balab hae mera bhai sheer qaar
Pyaasi hoon main bhi teen din aur teen raat se
Ab paani laate hoenge ammu Furaat se
Hae kuch waseeyatein meri is waqt ya imam
Un mein se ek yeh hae tasadduq ho jab ghulam
Saahil se laash uthke na jaaye su-ey qayaam
Jis ja pada hoon qabr ka bhi ho waheen maqaam
Sarke na qaanazaad imame diler ka
Maskan rahe taraai mein Hyder ke sher ka
Aur doosri yeh arz hae aey shahe nekh qoo
Shehzadiyaan mahal se na nikle kushada moonh
Dekhe na aake bali Sakina mera lahu
Aur ek marte marte hae yeh dil ki aarzoo
Aaye lahad mein boo-e imame zaman mujhe
Baqshein huzoor apni aba ka kafan mujhe
Sunkar yeh haal dil pa laga aur teere gham
Roye lahu ke ashkon se Abbase zee hasham
Itna kaha ke rah gaye sharminda us se hum
Pahunchate mashk haath na hote agar qalam
Kuch bas chala ajal se na is bequsoor ka
Majboor ho gaya yeh behashti huzoor ka
Sar peeth kar yeh kehne lage shahe behrobar
Abbas tukde karte ho kyon bhai ka jigar
Achha na laash uthayega yaan se yeh nauhagar
Turbat banegi aapki be shubha nehar par
Sach hae ke bahre sher taraai zaroor hae
Bhai magar tumhari lahad hum se door hae
Yeh keh ke daal di taneh purnoor par aba
Farmaya ab toh shaad huey tumpah mai fida
Yeh qillate aqir hae ae mere dilruba
Isko bhi loot lenge magar baaniye jafa
Chin jayengi ridaein bhi is ishdehaam mein
Sar nangay raandein niklengi balwa-e aam mein
Yeh sun ke paaey shah ki jaanib jhukaya sar
Kaampe lahu bhari hui ankhon ko khol kar
Tapke mijha se khoon ke qatre idhar udhar
Kis yaas se Hussain pah ki aaqri nazar
Manka jari ka dhal gaya bhai ke saamne
Bhai ka dum nikal gaya bhai ke saamne