Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara
Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara
dariya hae hamara
Behtar hae agar aap karen is se kinara
dariya hae hamara
Aane ki yahan Shaam ke hakim ki qabar hae
sub zer-o zabar hae
Kal subha se ghir jayega maidaan yeh saara
dariya hae hamara
Yeh sunte hi Abbas ke abru pah bal aaya
badhkar yeh sunaya
Hargiz nahin tum logoun ka kuch is mein ijaara
dariya hae hamara
Pyaase rahe maidaan mein waan sibte payambar
sairaab ho lashkar
Ek dum mai ulat doonga saffoun ko sitamara
dariya hae hamara
Lashkar ko hata kar yeh sada sher ki aayi
kiski hae taraayi
Bathlaao ke qabze mein hae ab kiske kinara
dariya hae hamara
Zainab ne kaha Shah se ghabrati hoon bhaayi
hovay na ladaayi
Le aaiyeh Abbas ko yeh kehke qudaara
dariya hae hamara
Jaakar kaha Shabbir ne Abbase dilawar
kyon hothay ho muztar
Mere liye har cheez ko Qaliq ne utaara
dariya hae hamara
Bay deenoun ki in baatoun ko qaatir mein na laao
ghusse mein na aao
Hum woh hain diya Nooh ki kashti ko sahara
dariya hae hamara
Dasween ko Muharram ki qayamat hui Bismil
ro detey thay qaatil
Saahil pah katey haath joh karte thay ishaara
dariya hae hamara